Click Here

Wednesday, January 2, 2013

Ik Molvi Sahib Ki Sunata Hoon Kahani,

Ik Molvi Sahib Ki Sunata Hoon Kahani,
Taizi Nahin Manzoor Tabiat Ki Dikhani,

Shohra Tha Bohat App Ki Sufi Manashi Ka,
Karte The Adab Un Ka Aa'aali-o-Adani,

Kehte The Ke Pinhan Hai Tasawwuf Mein Shariyat,
Jis Tarah Ke Alfaz Mein Muzmar Hon Maani,

Labraiz Mai-e-Zuhd Se Thi Dil Ki Surahi,
Thi Teh Mein Kahin Dard-e-Khiyal-e-Hama-Dani,

Karte The Bayan Aap Karamat Ka Apni,
Manzoor Thi Taadad Mureedon Ki Barhani,

Muddat Se Raha Karte The Humsaye Mein Mere,
Thi Rind Se Zahid Ki Mulaqat Purani,

Hazrat Ne Mere Aik Shanasa Se Ye Poocha,
Iqbal Ke Hai Qumri-e-Shamshad-e-Maani,

Pabandi-e-Ahkam-e-Shariat Mein Hai Kaisa ?
Go Shair Mein Hai Rashak-e-Kaleem-e-Hamdani,

Sunta Hoon Ke Kafir Nahi Hindu Ko Samajhta,
Hai Aesa Aqeeda Asar-e-Falsafa Dani,

Hai Iss Ki Tabiyat Mein Tashayyu Bhi Zara Sa
Tafzeel-e- Ali (R.A.) Hum Ne Suni Is Ki Zubani,

Samajha Hai Ke Hai Raag Ibadaat Mein Dakhil,
Maqsood Hai Mazhab Ki Magar Khak Urani,

Kuch Aar Isse Husn Faroshon Se Nahi Hai,
Adat Ye Humare Shuara Ki Hai Purani,

Gana Jo Hai Shab Ko To Sehar Ko Hai Talawat,
Iss Ramz Ke Ab Tak Na Khule Hum Pe Maani,

Lekin Ye Suna Apne Mureedon Se Hai Main Ne,
Be-Dagh Hai Manind-e-Sehar Iss Ki Jawani,

Majmooa-e-Azdaad Hai, Iqbal Nahi Hai,
Dil Daftar-e-Hikmat Hai, Tabiat Khuftani,

Rindi Se Bhi Aagah, Shariat Se Bhi Waqif,
Poocho Jo Tasawwuf Ki To Mansoor Ka Sani,

Is Shakhs Ki Hum Par To Haqiqat Nahi Khulti,
Ho Ga Ye Kisi Aur Hi Islam Ka Bani,

Al-Qissa Bohat Toul Diya Waaz Ko Apne,
Ta Dair Rahi App Ki Ye Naghz Bayani,

Is Shehar Men Jo Baat Ho, Urh Jati Hai Sub Mein,
Main Ne Suni Apne Ahibba Ki Zubani,

Ik Din Jo Sar-e-Rah Mile Hazrat-e-Zahir,
Phir Chhir Gayi Baton Mein Wohi Baat Purani,

Farmaya, Shikayat Woh Mohabbat Ke Sabab Thi,
Tha Farz Mera Rah Shariyat Ki Dikhani,

Main Ne Ye Kaha Koi Gila Mujh Ko Nahi Hai,
Ye App Ka Haq Tha Zarah-e-Qurb-e-Makani,

Kham Hai Sar-e-Tasleem Mera Aap Ke Agay,
Peeri Hai Tawazaa Ke Sabab Meri Jawani,

Gar Aap Ko Maloom Nahi Meri Haqiqat
Paida Nahin Kuch Iss Se Qasoor-e-Hamadani,

Main Khud Bhi Nahi Apni Haqiqat Ka Shanasa,
Gehra Hai Mere Behr-e-Khiyalaat Ka Pani,

Mujh Ko Bhi Tammana Hai Ke 'Iqbal' Ko Dekhun,
Ki Is Ki Juddai Mein Bohat Ashak Fishani,

Iqbal Bhi 'Iqbal' Se Agah Nahi Hai
Kuch Is Mein Tamaskhar Nahi Wallah Nahi Hai ...

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment