Jab Kabhi Unki Tawajjo MeiN Kami Payi Gayi,
Az-Sar-e-Nau Daastaan-e-Shauq Dohrayi Gayi,
Bik Gaye Jab Tere Lab Phir Tujh Ko Kya Shikwa Agar,
Zindagani Bada-o-Saghar Se Behlayi Gayi,
Ay Gham-e-Duniya ! Tujhe Kya Ilm Tere Waaste,
Kin BahanoN Se Tark-e-Wafa, Acha Chalo Yoon Hi Sahi,
Aur Agar Tark-e-Wafa Se Bhi Na Ruswayi Gayi,
Kaise Kaise Chashm-o-Areez Gard-e-Gham Se Bujh Gaye,
Kaise Kaise PaikaroN Ki Shaam-e-Zaibayi Gayi,
Dil Ki Dharkan MeiN Tawaajan Aa Chala Hai, Khair Ho,
Meri NazreiN Bujh Ga'eeN Ya Teri Ranayi Gayi,
Un Ka Gham, Un Ka Tasawwur, Un Ke Shikwe Ab KahaN,
Ab To Ye BaateiN Bhi Ay Dil !Ho Ga'eeN Aayi Gayi,
Jurrat-e-InsaaN Pe Go Tadeeb Ke Pehre Rahe
Fitrat-e-InsaaN Ko Kab Zanjeer Pehnayi Gayi,
Arsa-e-Hasti MeiN Ab Tesha-ZanoN Ka Daur Hai,
Rasm-e-Changaizi Uthi, To Qaid-e-Darayi Gayi ...
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:
Post a Comment