Kabhi Apne Se Mujh Ko Khush-Gumaan Hone Nahin Do Ge,
Ki Tum Mehnat Ko Apni Raayagaan Hone Nahin Do Ge,
.
Musafir Ki Tarah Aao Ge Ek Dil Dil-Saraai Mein,
Raho Ge Is Tarah Is Ko Makaan Hone Nahin Do Ge.
.
Zameen Par Rengte Rehne Ko Tanha Chhor Jaao Ge,
Kisi Haalat Mein Mujh Ko Aasmaan Hone Nahin Do Ge,
.
Meri Kashti Ko Jab Majdhaar Mein Laaye To Keh Dete,
Siwa Apne Kisi Ko Baad-Baan Hone Nahin Do Ge,
.
Bahut Se Mor Daanista Nahin Aane Diye Main Ne,
Kahaani Ko Meri Tum Daastaan Hone Nahin Do Ge ...
Poet : Shahryar
Contribute: Zahid Shah

No comments:
Post a Comment