Mehfilein Lut Gaeen, Jazbaat Nay Dam Torr Diya,
Saaz Khaamosh Hain, Naghmaat Nay Dam Torr Diya,
Har Musarrat Gham_e_Deros Ka Unwaan Bani,
Waqt Ki Goad Mein Lamhaat Nay Dam Torr Diya,
Un_Gint Mehfilein Mehroom_e_Charaaghaan Hain Abhi,
Kaun Kehta Hai K Zulmaat Nay Dam Torr Diya,
Aaj Phir Bhuj Gaye Jal Jal K Umeedon K Charaagh,
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Nay Dam Torr Diya,
Jin Say Afsaana_e_Hasti Mein Tasalsal Tha Kabhi,
Un Mohabbat Ki Rawayaat Nay Dam Torr Diya,
Jhilmilaatay Huey Ashkon Ki Larri Toot Gayi,
Jagmagaati Hui Barsaat Nay Dam Torr Diya,
Haaye ... Aadaab_e_Mohabbat K Taqaazay SAGHAR,
Lab Hillay Aur Shakayaat Nay Dam Torr Diya ....
Poet : Saghar Siddiqui
Contribute : Zahid Shah

No comments:
Post a Comment