Phir Is Andaaz Se Bahaar Aai,
K Huye Mehar-O-Maah Tamashai,
Dekho Ai Sakinaan-E-Khitta-E-Khaak,
Is Ko Kahte Hain Aalam-Aaraai,
Ke Zamin Ho Gai Hai Sar Taa Sar,
Rukash-E-Satahe Charkhe Minaai,
Sabze Ko Jab Kahin Jagah Na Mili,
Ban Gaya Ru-E-Aab Par Kaai,
Sabz-O-Gul Ke Dekhne Ke Liye,
Chashm-E-Nargis Ko Di Hai Binaai,
Hai Hawa Main Sharaab Ki Taaseer,
Badanoshi Hai Baad Paimaai,
Kyun Na Duniya Ko Ho Khushi "Ghalib"
Shaah-E-Deendaar Ne Shifaa Pai ...
Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment