Click Here

Sunday, January 6, 2013

Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,

Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya,

Dam Liya Tha Na Qayamat Ne Hanoz,
Phir Tera Waqt-E-Safar Yaad Aaya,

Saadgi Haaye Tamanna Yaani,
Phir Wo Nai Rang-E-Nazar Yaad Aaya,

Uzr-E-Vaamandgi Ae Hasrat-E-Dil,
Naala Karta Tha Jigar Yaad Aaya,

Zindegi Yun Bhi Guzar Hi Jaati,
Kyun Tera Rahguzar Yaad Aaya,

Kya Hi Rizwaan Se Ladaai Hogi,
Ghar Tera Khuld Main Gar Yaad Aaya,

Aah Wo Jurrat-E-Fariyaad Kahaan,
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya,

Phir Tere Kuche Ko Jaata Hai Khayaal,
Dil-E-Gum Gashta Magar Yaad Aaya,

Koi Veeraani-Si-Veeraani Hai,
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya,

Main Ne Majnu Pe Ladakpan Main 'Asad'
Sang Uthaya Tha Ke Sar Yaad Aaya ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment