Roodaad-e-Muhabbat Kya Kehiye ? Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Do Din Ki Musarrat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Jab Jaam Diya Tha Saqi Nay, Jab Daur Chala Tha Mehfil Mein,
Ik Hosh Ki Saa'at Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Ab Waqt K Naazuk Honton Par Majrooh Tarannum Raqsaa'n Hai,
Biyaad-e-Mushiyat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Ehsaas K Mai-Khanay Mein Kahan Ab Fikr-o-Nazar Ki Qandeelein,
Aalaam Ki Shiddat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Kuch Haal K Andhay Saathi Thay, Kuch Maazi K Aiyaar Sajjan,
Ahbaad Ki Chahat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Kaanton Say Bhara Hai Daman-e-Dil Shabnam Say Sulagti Hain Palkein,
Phoolon Ki Sakhaawat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye,
Ab Apni Haqeeqat Bhi SAGAR Be-Rabt Kahani Lagti Hai,
Duniya Ki Haqeeqat Kya Kehiye, Kuch Yaad Rehi Kuch Bhool Gaye ....
Poet : Saghar Siddiqui
Contribute : Zahid Shah

No comments:
Post a Comment