Click Here

Wednesday, January 2, 2013

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi,

Sar Mein Sauda Bhi Nahi Dil Mein Tamanna Bhi Nahi,

Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi,

Yun To Hungaame Uthaate Nahi Deewana-E-Ishq,

Magar Ai Dost Kuch Aison Ka Thikaana Bhi Nahi,

Muddatein Guzree'N Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,

Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahi,

Ye Bhi Sach Hai Ke Mohabbat Mein Nahi Majboor,

Ye Bhi Sach Hai Ke Tera Husn Kuch Aisa Bhi Nahi,

Dil Ki Ginti Na Yagaanon Mein Na Be-Gaanon Mein,

Lekin Is Jalvaa-Gaah-E-Naaz Se Uthta Bhi Nahi,

Bad-Gumaan Ho Ke Mil Ai Dost Jo Milna Hai Tujhe,

Ye Jhijhakte Huwe Milna Koi Milna Bhi Nahi,

Shikwa-E-Jaur Kare Kya Koi Us Shokh Se Jo,

Saaf Qaayal Bhi Nahin Saaf Mukarta Bhi Nahi,

Meherbani Ko Mohabbat Nahin Kehte Ai Dost,

Aah Mujh Se To Meri Ranjish-E-Bejaan Bhi Nahi,

Baat Ye Hai Ke Sukoon-E-Dil-E-Vehshi Ka Maqaam,

Kunj-E-Zindaan Bhi Nai Vusa'at-E-Sehra Bhi Nahi,

Munh Se Hum Apne Bura To Nahin Kehte Ke,

Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahi ...

Poet : Kaifi Azmi
Contribute: Zahid Shah

1 comment:

  1. A fine ghazal written by Firaq Gorakhpuri (incorrectly attributed to Kaifi Azmi, who is another great shayar).
    The maqta quoted by you above is incomplete. It goes like this " munh se hum apne bura to Nahin Kahte ke Firaq, Hai tera dost magar aadami achchha bhi Nahin"

    ReplyDelete