Click Here

Monday, January 7, 2013

Tu Nay Dekha Hay Kabhi Ik Nazar Sham Kay Baad,













Tu Nay Dekha Hay Kabhi Ik Nazar Sham Kay Baad,

Kitnay Chup Chap Say Lagtay Hain Shajar Sham Kay Baad,

Itnay Chup Chap Kay Rastay Bhi Rahain Gay La-Ilm,

Chor Jayein Gay Kisi Rooz Nagar Sham Kay Baad,

Sham Say Pehlay Tha Wo Mast Apni Uraano'n Mein,

Jis Kay Hatoon Mein Thay Tootay Huey Parr Sham Kay Baad,

Raat Beeti To Ginay Aablay Aur Socha Hum Nay,

Kon Tha Bais -E- Aghaz -E- Safar Sham Kay Baad,

Main Nay Aisay Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye,

Jaisay Koi Toofan Mein Chor Day Ghar Sham Kay Baad,

Tu To Hai Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh,

Tu Kisi Rooz Meray Ghar Mein Utar Sham Kay Baad,

Lout Aaye Na Kisi Rooz Woh Aawara Mijaz,

Khol Rakhtay Hain isi Aas Pay Darr Sham Kay Baad !

Poet: Farhat Abbas Shah
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment