Click Here

Tuesday, February 5, 2013

Ay Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai,

Ay Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai,

Usi Allah Ne Mujh Ko Bhi Mohabbat Di Hai,

Tegh Be-Aab Hai, Baazu-E-Qaatil Kamzor,

Kuch Giraan Jaani Hai, Maut Befursat Di Hai,

Koi Akseer Ghazi Dil Nahin Rakhti Aisa,

Khaaksari Nahin Di Hai Daulat Di Hai,

Furqat-E-Yaar Mein Ro Ro Ke Basar Karta Hoon,

Zindagi Mujhe Kya Di Hai Museebat Di Hai,

Yaad-E-Mehboob Faramosh Na Huye Ai Dil,

Husn-E-Neeyat Ne Mujhe Ishq Si Ne'mat Di Hai,

Gosh Paida Kiye Sun Ne Ko Tera Zikr-E-Jamaal,

Dekh Ne Ko Tere Aankhon Mein Basaarat Di Hai,

Lutf-E-Dilbastagi-E-Aashiq-E-Shaida Na Pooch.

Do Jahaan Se Is Asseeri Ne Faraaghat Di Hai,

Kamar-E-Yaar Ke Mazmoon Ko Baandh Aaye ''Aatish'',

Zulf Khubaan Si Mere Gham Ko Tabiyat Di Hai ...

Poet : Haider Ali Atish
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment