Kisi Ki Aankh Say Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta,
Mandiron Say Chiraaghon Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta,
Koi Aik Aadha Sapna Ho To Ho , Acha Bhi Lagta Hai,
Hazaaron Khwaab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta,
Sakoon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardais Mein Bhi,
Jinhen Apne Watan Say Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta,
Usay Kehna K Palkon Per Na Taanay Khawbon Ki Jhalar,
Samandar K Kinarey Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta,
Yeh Acha Hai K Apas K Bharam Na Tootney Payein,
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Kar Kuch Nahi Milta,
Mujhe Aksar Sitaaron Sey Yehi Awaaz Aati Hai,
Kisi K Hijr Mein Neendein Ga'nwaa Kar Kuch Nahi Milta,
Jigar Ho Jaye Ga Chalni Yeh Ankhein Khoon Royein Gi,
Wasi Be_Faiz Logon Sey Nibha Kar Kuch Nahi Milta !
Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment