Click Here

Tuesday, August 7, 2012

Jo Bhi Kuch Hai Mohabbat Ka Phailaao Hai .....













Tere Mere Aabd Ka Kinara Hai Yeh ...
Iste'aara Hai Yeh ...
Roop Ka Daao Hai ...
Piyaar Ka Ghaao Hai ...
Jo Bhi Kuch Hai Mohabbat Ka Phailaao Hai .....

Subha-dum Jis Gharri, Phool Ki Pankharri ...
Oos Ka Aaeena Jagmaganay Laga ....
Ik Bhanwara Dekh Kar Kaheen ...
Shakh Ki Ot Say
Sar Uthaanay Laga ....Phool, Bhanwara, Talatum Hai Theraao Hai ....
Jo Bhi Kuch Hai Mohabbat Ka Phailaao Hai .....

Khuwaab Kya Kya Chunay ...
Jaal Kya Kya Bunay ...
Mouj Thamti Nahi ...
Rang Ruktay Nahi ...
Waqt K Farsh Par ...
Khaak K Raqs Par ...
Naqsh Jamtay Nahi ...
Abr Jhuktay Nahi ...
Har Musaafat Ki Doori Ka Simtaao Hai ....
Jo Bhi Kuch Hai Mohabbat Ka Phailaao Hai .....

Poet : Amjad Islam Amjad
Contribute : Zahid Shah

1 comment: