Click Here

Tuesday, August 7, 2012

Ya Rab ! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamanna Day,



















Ya Rab ! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamanna Day,
Jo Qalb Ko Garmaa Day, Jo Rooh Ko Tarpa Day,

Phir Wadi-e-Faaran K Har Zarray Ko Chamka Day,
Phir Shauq-e-Tamasha Day, Phir Zauq-e-Taqaza Day,

Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Deeda-e-Beena Day,
Dekha Hai Jo Kuch Mein Nay Auron Ko Bhi Dikhla Day,

Bhatkay Huway Aahu Ko Phir Soo'ay Haram Lay Chal,
Is Sheher K Khugar Ko Phir Wusaat-e-Sehra Day,

Paida Dil-e-Weeran Mein Phir Shaurish-e-Mehshar Kar
Is Mehmil-e-Khali Ko Phir Shahid-e-Laila Day,

Is Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan Ko
Woh Daagh-e-Mohabbat Day Jo Chand Ko Sharma Day,

Riffat Mein Maqasid Ko Humdosh-e-Surraya Kar,
Khuddari-e-Sahil Day, Azadi-e-Darya Day,

Be-Lous Mohabbat Ho, Be-Baak Sadaqat Ho,
Seenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena Day,

Ehsaas Anaayat Kar Asaar-e-Moseebat Ka,
Amroz Ki Shuarish Mein Andesha-e-Farda Day,

Main Bulbul-e-Nalan Hun Ek Ujrray Gulistan Ka,
Taseer Ka Saa'il Hun, Mauhtaj Ko, Data Day ...

Poet : Dr. Allama Mohammad Iqbal
Contributed : Zahid Shah


No comments:

Post a Comment