Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga,
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi,
Qayamat Say Pehle Qayamat Hai Yaro,
Mere Saamnay Meri Duniya Lutay Gi,
Jawani Pay Meri Sitam Dhaanay Waalay,
Zara Soch Lay, Kya Kahay Ga Zamana,
Idhar Mere Armaan Kafan Pehan Lain Gay,
Udhar Un K Haathon Mein Mehndi Lagay Gi,
Abhi Un K Hansnay K Din Hain Wo Hans Lain,
Abhi Mere Ronay K Din Hain, Main Ro Loon,
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga,
K Jis Din Bhi Meri Maiyat Uthay Gi,
Wo Parday K Peechay, Main Parday K Aagay,
Na Wo Aayein Aagay, Na Main Jaoon Peechay,
Wo Aagay Barrhein Gay To Kuch Bhi Na Ho Ga,
Main Peechay Hatoon Ga To Duniya Hansay Gi,
Azzal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Duniya,
Kaheen Do Dilon Ko Ye Milnay Na Day Gi,
Idhar Mere Dil Par Khanjar Chalay Ga,
Udhar Un K Maathay Pay Bindiya Sajay Gi,
Qayamat Say Pehle Qayamat Hai Yaro,
Mere Saamnay Meri Duniya Lutay Gi.
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
Who is author of this poem
ReplyDeleteplz let us know
DeleteI think the poet is tabish dehlvi
ReplyDelete