Main Baar Baar Gaya Hoon Khayaal Se Aage
Hai Aur Zindagi Is Inteqaal Se Aage,
Agar_Che Un Ka Muqaddar Na Thi Koi Manzil,
Magar Mile The Musaafir Nidhaal Se, Aage,
Ajab Na Tha Ke Usey Main Shikaar Kar Leta,
Woh Tairta Badan Us Ka Tha Jaal Se Aage,
Isi Liye Main Baghal_Geer Kar Saka Na Usey,
Badan Woh Raqs Mein Tha Maah O Saal Se Aage,
Woh Ek Rang Ke Daayem Sabaat Ho Jis Ko,
Main Dekhta Hoon Urooj O Zawaal Se Aage,
Shikastgi Thi Muqaddar Ke Ja Na Sakta Tha,
Woh Kismisaata Badan, Arz-E-Haal Se Aage,
Mujhe Yaqeen Hai Muqaamaat-E-Sar_KhooshiHai Bahut,
Teri Judaayi Mein Gird-E-Malaal Se Aage,
Mujhe To Noor-E-Muhabbat Dikhaayi Deta Hai,
Kisi Ke Bujhte Badan Ke Maal Se Aage,
Kabhi Na Chaha Usey La_Jawaab Karna Zafar,
Main Ja To Sakta Tha Us Ke Sawaal Se Aage ...
No comments:
Post a Comment