Click Here

Saturday, October 6, 2012

Kab Talak Shab Kay Andhairay Mein Sehar Ko Tarsay,



Kab Talak Shab Kay Andhairay Mein Sehar Ko Tarsay,
Wo Musafir Jo Bharay Shehar Mein Ghar Ko Tarsay,
Aankh Thehray Howay Paani Say Bhi Katraati Hai
Dil Wo Reh'roo Keh Samandar Kay Safar Ko Tarsay,
Mujh Ko Uss Qehat Kay Mosam Say Bacha Rub-E-Sukhan
Jab Koi Ehal-E-Hunar, Arz-E-Hunar Ko Tarsay,
Ab Kay Iss Toor Musalat Hua Andhaira Har Soo
Hijar Ke Raat Mairay Deeda-E-Tarr Ko Tarsay,
Umar Itni Tu Ataa Kar Mairay Fun Ko Khaliq,
Mera Dushman Mere Marnay Ki Khabar Ko Tarsay,
Us Ko Paa Kar Bhi Ussay Dhoond Rahi Hain Aankhain
Jaisay Paani Mein Koi Seep Gohar Ko Tarsay,
Na_Shanasai Kay Mousam Ka Asar Tu Dekho
Aaeena Khaal-O-Khad-E-Aania Gar Ko Tarsay,
Ek Dunia Hai Kay Basti Hai Teri Ankhoon Mein
Wo To Hum Thay Jo Teri Ik Nazar Ko Tarsay
Shoor-E-Sur'sar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam-E-Gul Mein Wohi Shaakh Samar Ko Tarsay ...!
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment