Click Here

Saturday, October 6, 2012

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra



Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Mera Chehra
Jalay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Mera Chehra
Woh Tere Hijar Kay Din Wo Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Mera Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Mera Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Teri Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Mera Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Mera Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi K Mera Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi Mohsin
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra ?
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment