Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May Khane
Yahan Saqi Nahin Payda, Wahan Be-Zauq Hai Sehba
Na Iran Main Rahe Baqi, Na Tooran Mein Rahe Baqi
Woh Banday Faqr Tha Jin Ka Halaak-e-Qaisar-o-Kasra
Yehi Sheikh-e-Haram Hai Jo Chura Kar Baich Khata Hai
Galeem-e-Bu Zar (R.A.)-o-Dalaq-e-Awais (R.A)-o-Chadar-e-Zahra (R.A.)
Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat Ki
Ye Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa
Nida Ayi Ke Ashob-e-Qayamat Se Ye Kya Kam Hai
'Garaftah Cheeniyan Ahram-o-Makki Khufta Dar Batha'
Labalab Sheesha-e-Tehzeeb-e-Hazir Hai Ma-LA'Se
Magar Saqi Ke Hathon Mein Nahin Paymana’ay 'ILLAH'
Daba Rakha Hai Uss Ko Zakhmawer Ki Taiz Dasti Ne
Bohat Neeche Suron Mein Hai Abhi Yourap Ka Wavela
Issi Darya Se Uthti Hai Woh Mouj-e-Tund Joulan Bhi
Nehnangon Ke Nasheman Jis Se Hote Hain Teh-o-Bala ...
Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment