Ghulami Kya Hai ? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi
Jise Zaiba Kahin Azad Bande, Hai Wohi Zaiba
Bharosa Kar Nahin Sakte Ghulamon Ki Baseerat Par
Ke Dunya Mein Faqat Mardan-e-Hur Ki Ankh Hai Beena
Wohi Hai Sahib-e-Amroz Jis Ne Apni Himat Se
Zamane Ke Sumander Se Nikala Gohar-e-Farda
Farangi Shisha Gar Kar Ke Fun Se Pathar Ho Gaye Pani
Meri Ikseer Ne Shishe Ko Bakhshi Sakhti-e-Khara
Rahe Hain, Aur Hain Firon Meri Ghaat Mein Ab Tak
Magar Kya Gham Ke Meri Asteen Mein Hai Yad-e-Baiza
Wo Chingari Khas-o-Khashaak Se Kis Tarah Dab Jaye
Jise Haq Ne Kiya Ho Neestan Ke Wastay Paida
Mohabbat Khaweshtan Beeni, Mohabbat Khwaestan Dari
Mohabbat Astan-e-Qaisar-o-Kasra Se Beparwa
Ajab kya Gar Meh-o-Parveen Mere Nakhcheer Ho Jaen
'Ke Bar Fatraak-e-Sahib Doulatay Bistam Sar-e-Khud Ra'
Wo Dana-e-Subul, Khatam-Ur-Rusul, Moula-e-Kul (S.A.W.) Jis Ne
Ghubar-e-Rah Ko Bakhsha Farogh-e-Wadi-e-Sina
Nigah-e-Ishq-o-Masti Mein Wohi Awal, Wohi Akhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yasin, Wohi Taha
Sanayi Ke Adab Se Mein Ne Gawwasi Na Ki Warna
Abhi Iss Behar Mein Baqi Hain Lakhon Lulu-e-Lala ...
Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment