Ibaadat, Aqeedat, Talaawat Muhabbat,
Zarurat, Sahulat, Haqeeqat Muhabbat,
Meri Raegaani, Meri Javedaani,
Azziyat Muhabbat, Musarrat Muhabbat,
Zer_e_Dil-bari Bhi, Gham_e_Aagaahi Bhi,
Sabhi Kuch Hai Teri Badaulat Muhabbat,
Na Kuch Is Say Pehle, Na Kuch Baad Is K,
Hai Jiddat Muhabbat, Qadaamat Muhabbat,
Na Tann Pay Libaada, Na Paoon Mein Jootay,
Teri Kis Nay Kar Di Ye Haalat Muhabbat,
Chalo Phir Say Chairrein Ye Saaz_e_Jawaani,
Chalo Phir Say Kar Lein Sharaarat Muhabbat,
Hai Insaaniyat Ki Saqaafat Ka Johar,
Hai Har Ik Sitam Ki Muzammat Muhabbat,
Suna Hai K Bemaar Thi Kuch Dino'n Say,
Sunaa ... Ab Hai Kesi Tabbiyat Muhabbat,
Ye Kya K Abhi Say Sambhalnay Lagay Hum,
Dikha Koi Taaza Karamat Muhabbat,
Junoon_e_Shahaadat Say Sarshaar Thi Na,
So Apnay Lahu Say Hai Latt-Patt Muhabbat,
Mera Mashwara Hai K Tu Kuch Kar Ja,
Hai Is Mein Hi Ab Teri Izzat Muhabbat,
Humara Guzaara Na Yaa'n Ho Sakay Ga,
Lo Hum Ja Rehay Hain, Ijaazat Muhabbat ...
Contribute : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment