Koi Pathar Koi Gohar Kyon Hai,
Farq Logon Mein Is Qadar Kyon Hai,
Tuu Mila Hai To Ye Khayaal Aaya,
Zindagi Itni Mukhtasar Kyon Hai,
Jab Tujhe Laut Kar Nahin Aana,
Muntzar Meri Chashm-E-Tarr Kyon Hai,
Us Ki Aankhen Kahin Sadaf To Nahin,
Us Ka Har Ashk Hi Gohar Kyon Hai,
Raat Pehle Hi Kyon Nahi Dhalti,
Teergi Shab Ki Ta Sahar Kyon Hai,
Ye Bhi Kesa Azaab De Daala,
Hai Muhabbat To Is Qadar Kyon Hai,
Tuu Nahin Hai To Roz-o-Shab Kesi,
Shaam Kyon Aa Gai Sahar Kyon Hai,
Kyon Rawana Hai Har Ghari Dunya,
Zindagi Mustaqil Safar Kyon Hai,
Main To Ek Mustaqil Musafir Hun,
Tuu Bhala Mera Hamsafar Kyon Hai,
Tujh Ko Milna Nahin Kisi Se Adeem,
Phir Bichharne Ka Tujh Ko Darr Kyon Hai...!!
Poet : Adeem Hashmi
Farq Logon Mein Is Qadar Kyon Hai,
Tuu Mila Hai To Ye Khayaal Aaya,
Zindagi Itni Mukhtasar Kyon Hai,
Jab Tujhe Laut Kar Nahin Aana,
Muntzar Meri Chashm-E-Tarr Kyon Hai,
Us Ki Aankhen Kahin Sadaf To Nahin,
Us Ka Har Ashk Hi Gohar Kyon Hai,
Raat Pehle Hi Kyon Nahi Dhalti,
Teergi Shab Ki Ta Sahar Kyon Hai,
Ye Bhi Kesa Azaab De Daala,
Hai Muhabbat To Is Qadar Kyon Hai,
Tuu Nahin Hai To Roz-o-Shab Kesi,
Shaam Kyon Aa Gai Sahar Kyon Hai,
Kyon Rawana Hai Har Ghari Dunya,
Zindagi Mustaqil Safar Kyon Hai,
Main To Ek Mustaqil Musafir Hun,
Tuu Bhala Mera Hamsafar Kyon Hai,
Tujh Ko Milna Nahin Kisi Se Adeem,
Phir Bichharne Ka Tujh Ko Darr Kyon Hai...!!
Poet : Adeem Hashmi
No comments:
Post a Comment