Click Here

Friday, November 2, 2012

Ik Danish-e-Noorani, Ik Danish-e-Burhani











Ik Danish-e-Noorani, Ik Danish-e-Burhani

Hai Danish-e-Burhani, Hairat Ki Farawani

Iss Paikar-e-Khaaki Mein Ek Shay Hai, So Woh Teri

Mere Liye Mushkil Hai Uss Shay Ki Nighabani

Ab Kya Jo Meri Afghan Pohenchi Hai Sitaron Tak

Tu Ne Hi Sikhai Thi Mujh Ko Ye Ghazal Khawani

Ho Naqsh Agar Batil, Takrar Se Kya Hasil

Kya Tujh Ko Khush Ati Hai Adam Ki Ye Arzani ?

Mujh Ko To Sikha Di Hai Afrang Ne Zindeeqi

Iss Dour Ke Mullah Hain Kyun Nang-e-Musalmani !

Taqdeer Shikan Quwwat Baqi Hai Abhi Iss Mein

Nadan Jise Kehte Hain Taqdeer Ka Zindani

Tere Bhi Sanam Khane, Mere Bhi Sanam Khane

Dono Ke Sanam Khaaki, Dono Ke Sanam Faani ...

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

1 comment: