Aik Makra Aur Makhi (Makhooz) - Bachon Ke Liye
Ek Din Kisi Makhi Se Ye Kehne Laga Makra
Iss Rah Se Hota Hai Guzar Roz Tumhara
Lekin Meri Kutiya Ki Na Jagi Kabhi Kismat
Bhoole Se Kabhi Tum Ne Yahan Paun Na Rakha
Ghairon Se Na Miliye To Koi Baat Nahin Hai
Apno Se Magar Chahiye Yun Khinch Ke Na Rehna
Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Ye Meri
Wo Samne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Ana
Makhi Ne Suni Baat Jo Makre Ki To Boli
Hazrat! Kisi Nadan Ko Dijiye Ga Ye Dhoka
Iss Jaal Mein Makhi Kabhi Aane Ki Nahin Hai
Jo Aap Ki Seerhi Pe Charha, Phir Nahin Utra
Makre Ne Kaha Wah! Farebi Mujhay Samjhe
Tum Sa Koi Nadan Zamane Mein Na Ho Ga
Manzoor Tumhari Mujhe Khatir Thi Wagarna
Kuch Faida Apna To Mera Iss Mein Nahin Tha
Urti Huwi Ayi Ho Khuda Jane Kahan Se
Thehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!
Iss Ghar Mein Khai Tum Ko Dikhane Ki Hain Cheezain
Bahir Se Nazar Ata Hai Chotti Si Ye Kutiya
Latke Huay Darwazon Pe Bareek Hain Parde
Diwaron Ko Aaeyno Se Hai Mein Ne Sajaya
Mehmanon Ke Aaram Ko Hazir Hain Bichone
Her Shaks Ko Saman Ye Mayaser Nahin Hota
Makhi Ne Kaha Khair, Ye Sub Theek Hai Lekin
Mein Aap Ke Ghar Aaun, Ye Umeed Na Rakhna
In Naram Bichonon Se Khuda Mujh Ko Bachaye
So Jaye Koi In Pe To Phir Uth Nahin Sakta
Makre Ne Kaha Dil Mein, Suni Baat Jo Uss Ki
Phansun Issay Kis Tarha Ye Kambakhat Hai Dana
So Kaam Khushamad Se Nikalte Hain Jahan Mein
Dekho Jise Duniya Mein Khushamad Ka Hai Banda
Ye Soch Ke Makhi Se Kaha Uss Ne Bari Bee !
Allah Ne Bakhsha Hai Bara Aap Ko Rutba
Hoti Hai Ussay Aap Ki Soorat Se Mohhabat
Ho Jis Ne Kabi Aik Nazar Aap Ko Dekha
Aankhain Hain Ke Heeray Ki Chamakti Huwi Kaniyan
Ser Aap Ka Allah Ne Kalgi Se Sajaya
Ye Husn, Ye Poshak, Ye Khubi, Ye Safai
Phir Iss Pe Qayamat Hai Ye Urte Huay Gana
Makhi Ne Suni Jab Ye Khushamad To Pasiji
Boli Ke Nahin Aap Se Mujh Ko Koi Khatka
Inkar Ki Aadat Ko Samajhti Hun Bura Mein
Sach Ye Hai Ke Dil Torna Acha Nahin Hota
Ye Baat Kahi Aur Uri Apni Jagha Se
Paas Ayi To Makre Ne Uchal Ker Ussay Pakra
Bhooka Tha Kai Roz Se, Ab Hath Jo Ayi
Aaram Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Uraya ...
Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
Much appreciated sir!
ReplyDeleteVery helpful