Click Here

Thursday, November 1, 2012

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaaney Mere,















Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaaney Mere,
Tu Kahaan Hai Magar Ay Dost Puraaney Mere,
Tu Bhi Khushboo Hai Magar Mera Tajassus Bekaar,
Barq-E-Aawara Ki Maanind Thikaaney Mere,
Shamma Ki Lou Thi K Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Der Tak Rota Raha Koi Sirhaaney Mere,
Khalq Ki Be_Khabri Hai K Meri Ruswaai,
Log Mujh Ko Hi Sunaatey Hain Fasaaney Mere,
Lut K Bhi Khush Hoon K Ashkon Sey Bhara Hai Daaman,
Dekh Ghaarat_Gare Dil Ye Bhi Khazaaney Mere,
Aaj Ik Aur Baras Beet Gaya Us K Bagair,
Jis K Hotey Huey Hotey Thay Zamaaney Mere,
Kaash Tu Bhi Meri Awaaz Sunta Ho,
Phir Pukaarey Hai Tujhe Dil Ki Sada Ne Mere,
Kaash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihaai Ko,
Log Aatey Hain Bohat Dil Ko Dukhaaney Mere,
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta,
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ney Mere,
Tu Hai Kis Haal Main Ay Zood Faraamosh Mere,
Mujh Ko To Cheen Liya Ehad-E-Wafa Ney Mere,
Chaaragar Yoon To Bohat Hain Magar Ay Jaan-E-'Faraz',
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jaaney Mere !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment