Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaoon Usey,
Ghazal Bahana Karoon Aur Gungunaoon Usey,
Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Maanind,
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gallay Lagaoon Usey,
Ye Log Tazkarey Kartey Hain Apane Logon Sey,
Main Kaisey Baat Karoon Aur Kahan Sey Laaoon Usey,
Magar Wo Zood_Faraamosh Zood_Ranj Bhi Hai,
K Rooth Jaaye Agar Yaad Kuch Dilaoon Usey,
Wohi Jo Doulat-E-Dil Hai Wohi Jo Raahat-E-Jaan,
Tumhari Baat Pay Ay Naasiho Ganwaoon Usey,
Jo Ham Safar Sar-E-Manzil Bichar Raha Hai 'Faraz',
Ajab Nahi K Agar Yaad Bhi Na Aaoon Usey !
Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment