Click Here

Thursday, November 1, 2012

Pareshaan Ho K Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye

Pareshaan Ho K Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye
Na Kar Dain Mujh Ko Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Soz-e-Daroon Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye
Kabhi Chhori Huwi Manzil Bhi Yaad Aati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo Sinay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye
Banaya Ishq Ne Darya'ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye
Kahin Iss Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye
Urooj-e-Adam-e-Khaki Se Anjum Sehmay Jatay Hain
K Ye Toota Hua Tara Maah-e-Kamil Na Ban Jaye ....

Poet : Allama Iqbal
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment