Tu Abhi Reh-Guzar Mein Hai, Qaid-e-Maqam Se Guzar,
Misr-o-Hijaz Se Guzar, Paras-o-Shaam Se Guzar,
Jis Ka Amal Hai Be-Gharz, Uss Ki Jaza Kuch Aur Hai,
Hoor-o-Khiyaam Se Guzr, Badah-o-Jaam Se Guzar,
Garcha Hai Dilkusha Bohat Husn-e-Farang Ki Bahar,
Taeerik-e-Buland Baal, Dana-o-Daam Se Guzar,
Koh Shigaaf Teri Zarb, Tujh Se Kushaad-e-Sharq-o-Gharb,
Taigh-e-Hilal Ki Tarah Aesh-e-Niyam Se Guzar,
Tera Imam Be Huzoor, Teri Namaz Be Suroor,
Aisi Namaz Se Guzar, Aise Imam Se Guzar ...
Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment