Click Here

Friday, November 2, 2012

Alam-e-Aab-o-Khaak-o-Baad ! Sirr-e-Ayaan Hai Tu Ke Main















Alam-e-Aab-o-Khaak-o-Baad ! Sirr-e-Ayaan Hai Tu Ke Main

Woh Jo Nazar Se Hai Nahan, Uss Ka Jahan Hai Tu Ke Main

Woh Shab-e-Dard-o-Souz-o-Gham, Kehte Hain Zindagi Jise

Uss Ki Sahar Hai Tu Ke Main, Uss Ki Azaan Hai Tu Ke Main

Kis Ki Namood Ke Liye Shaam-o-Sahar Hain Garam-e-Sair

Shana'ay Rozgar Par Bar-e-Garan Hai Tu Ke Main

Tu Kaf-e-Khaak-o-Bebasar, Main Kaf-e-Khaak-o-Khud Nigar

Kisht-e-Wujood Ke Liye Aab-e-Rawan Hai Tu Ke Main ...

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment