Gham say behel rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
dard mein dhal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
saya-e-Vasl kab say hai aap ka muntazir magar
hijr mein jal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
apne khilaaf faisla khud hi likha hai ap nay
haath bhi mal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
Waqt nay aarzu ki lau dair hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
dayeray-war hi to hain ishq k raastay tamaam
raah badal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain
apni talash ka safar khatam bhi kijiye kabhi
khuwaab mein chal rahay hain aap, aap bohat ajeeb hain ....
Poet : Joun Elia

Poet is Pirzada Qasim not John Aalia
ReplyDeletePoet is Pirzada Qasim not John Aalia
ReplyDeleteIt's only recited by Qasim sahab...
DeletePoet is Pirzada Qasim.
ReplyDelete