Koi Haalat Nahi Ye Haalat Hai,
Ye To Ashob-Naak Soorat Hai,
Anjuman Mein Ye Meri Khamoshi,
Burd-Baari Nahi hai Wehshat Hai,
Tujh Se Ye Gaah Gaah Ka Shikwa,
Jab Talak Hai Basa Ghaneemat Hai,
Khuwahishein Dil Ka Sath Chhor Gayeen,
Ye Aziyyat Bari Azziyyat Hai,
Log Masroof Jaantay Hain Mujhe,
Yaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai,
Tanz Pairaa-e-Tabassum Mein,
Is Takalluf Ki Kya Zaroorat Hai,
Hum Ne Dekha To Hum Ne Ye Dekha,
Jo Nahi Hai Wo Khoobsoorat Hai,
Waar Karne Ko Jaan-Nisaar Aayein,
Ye To Eesaar Hai, Inayat Hai,
Garm-Joshi Aur Is Qadar Kya Baat,
Kya Tumhein Mujh Se Koi Shikayat Hai,
Ab Nikal Aao Apne Andar Se,
Ghar Mein Saamaan Ki Zaroorat Hai,
Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra,
Sar Se Paa Tak Badan Salaamat Hai ..
Poet : Jaun Elia
www.zahid-shah.blogspot.com/
Ye To Ashob-Naak Soorat Hai,
Anjuman Mein Ye Meri Khamoshi,
Burd-Baari Nahi hai Wehshat Hai,
Tujh Se Ye Gaah Gaah Ka Shikwa,
Jab Talak Hai Basa Ghaneemat Hai,
Khuwahishein Dil Ka Sath Chhor Gayeen,
Ye Aziyyat Bari Azziyyat Hai,
Log Masroof Jaantay Hain Mujhe,
Yaan Mera Gham Hi Meri Fursat Hai,
Tanz Pairaa-e-Tabassum Mein,
Is Takalluf Ki Kya Zaroorat Hai,
Hum Ne Dekha To Hum Ne Ye Dekha,
Jo Nahi Hai Wo Khoobsoorat Hai,
Waar Karne Ko Jaan-Nisaar Aayein,
Ye To Eesaar Hai, Inayat Hai,
Garm-Joshi Aur Is Qadar Kya Baat,
Kya Tumhein Mujh Se Koi Shikayat Hai,
Ab Nikal Aao Apne Andar Se,
Ghar Mein Saamaan Ki Zaroorat Hai,
Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra,
Sar Se Paa Tak Badan Salaamat Hai ..
Poet : Jaun Elia
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment