Click Here

Thursday, December 20, 2012

Haalat-e-Haal K Sabab, Haalat-e-Haal Hi Gayi,

Haalat-e-Haal K Sabab, Haalat-e-Haal Hi Gayi,

Shauq MeiN Kuch Nahi Gaya, Shauq Ki Zindagi Gayi,

Ik Hi Haadsa To Hai Aur Wo Ye K Aaj Tak,

Baat Nahi Kehi Gayi, Baat Nahi Suni Gayi,

Baad Bhi Tere Jaan-e-JaaN Dil MeiN Raha Ajab SamaaN,

Yaad Rehi Teri YahaN, Phir Teri Yaad Bhi Gayi,

Us Ke Badan Ko Di Namood Hum Ne Sikhan MeiN Aur Phir,

Us Ke Badan Ke Waaste Ik Qabaa Bhi Si Gayi,

Us Ki Umeed-e-Naaz Ka Hum Se Ye Maan Tha K Aap,

Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gayi,

Us Ke Wisaal Ke Liye, Apne Kamaal K Liye,

Haalat-e-Dil, K Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi,

Tera Firaaq Jaan-e-JaaN Aish Tha Kya Mere Liye,

Yaani Tere Firaaq MeiN Khoob Sharaab Pee Gayi,

Us Ki Gali Se Uth K MaiN, Aan Parra Tha Apne Ghar,

Ik Gali Ki Baat Thi, Aur Gali Gali Gayi ...

Poet : Jaun Elia
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment