Click Here

Thursday, December 20, 2012

''John'' guzasht -E- waqt ki halat -E- haal par salaam

''John'' guzasht -E- waqt ki halat -E- haal par salaam

Us ke firaaq ko dua ! us ke Wisaal par salaam

Tera sitam bhi tha karam, tera karam bhi tha sitam

Bandagi teri tegh ko, aur teri dhaal par salaam

Sood -O- zayaan k farq ka ab nahi hum say waasta,

Subh ko arz -E- kornish, shaam -E- malaal par salaam

Ab to nahi hai lazzat -E- mumkin -E- shauq bhi naseeb,

Roz -O- shab zamaana -E- shauq -E- mahaal par salaam

Hijr -E- sawaal ke hain din, hijr -E- jawaab ke hain din,

Us ke jawaab par salaam, apne sawaal par salaam

Janay wo rang -E- Masti -E- khuwaab -O- khayaal kya hui ?

Ishrat -E- khuwaab ki sana, aish -E- khayaal par salaam

Apna kamaal tha ajab, apna zawaal tha ajab,

Apne kamaal par darood, apne zawaal par salaam ...

Poet : Jaun Elia

No comments:

Post a Comment