Hum kahaN aur tum kahaN jaanaaN
HaiN kayi hijr darmiyaN jaanaaN
RaigaaN wasl meiN bhi waqt hua
Par hua khoob raigaaN jaanaaN
Mere ander hi tu kaheeN gum hai
Kis se poochhuN tera nishaaN jaanaaN
Aalam E be-karaN meiN rang hai tu
Tujh meiN ThehrooN kahaN kahaN jaanaaN
Roshni bhar gayi nigaahoN meiN
Ho gaye khaab be-amaN jaanaaN
Ab bhi jheeloN meiN aks partay haiN
Ab bhi neela hai aasmaN jaanaaN ...
Poet : Jaun Elia
Contribute: Zahid Shah
HaiN kayi hijr darmiyaN jaanaaN
RaigaaN wasl meiN bhi waqt hua
Par hua khoob raigaaN jaanaaN
Mere ander hi tu kaheeN gum hai
Kis se poochhuN tera nishaaN jaanaaN
Aalam E be-karaN meiN rang hai tu
Tujh meiN ThehrooN kahaN kahaN jaanaaN
Roshni bhar gayi nigaahoN meiN
Ho gaye khaab be-amaN jaanaaN
Ab bhi jheeloN meiN aks partay haiN
Ab bhi neela hai aasmaN jaanaaN ...
Poet : Jaun Elia
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment