Click Here

Friday, December 21, 2012

Tiflaan-e-koocha gard k pathar bhi kuch nahi,

Tiflaan-e-koocha gard k pathar bhi kuch nahi,

Sauda bhi aik wehm hai aur sar bhi kuch nahi,

MaiN aur khud ko tujh sey chupaaon ga, yaani main ?

Lay dekh lay Mian mere andar bhi kuch nahi,

Bas ik ghubaar-e-wehm hai ik koocha gard ka,

Deewaar-e-bood kuch nahi aur dar bhi kuch nahi,

Ye Shehar daar-o-Mohtasib-o-Maulavi hi kia,

Peer-e-mughaan-o-Rind-o-Qalander bhi kuch nahi,

Sheikh-e-haram luqma ki parwa hai kiyun tumhein ?

Masjid bhi us ki kuch nahi, Mimber bhi kuch nahi,

Maqdoor apna kuch bhi nahi is dayaar mein,

Shayad wo jabar hai k muqaddar bhi kuch nahi,

Yaani ! Main tere naaf piyaaley pey hoon fida,

Ye aur baat hai tera Paikar bhi kuch nahi,

Ye shab ka raqs-o-rang hi kya, sun meri kahani,

Subh-e-shataab-e-kosh ka daftar bhi kuch nahi,

Bas ik Ghubaar-e-taur gumaan ka hai teh-ba-teh,

Yaani nazar bhi kuch nahi, Manzar bhi kuch nahi,

Hai ab to aik haal-e-sukoon-e-hameshgi,

Parwaaz ka to zikr hi kya, par bhi kuch nahi,

Kitna Daraaoona hai ye shehar-e-nabood-o-bood,

Aisa Daraaoona k yahan Darr bhi kuch nahi,

Pehlu mein hai jo mere kaheen aur hai wo shakhs,

Yaani wafa-e-ehd ka bistar bhi kuch nahi,

Nisbat mein in ki jo hai Azziyat wo hai magar,

Shah-rag bhi koi shey nahi aur sar bhi kuch nahi,

Yaaraan ! Tumhein jo mujh say gila hai to kis liye ?

Mujh ko to aitraaz Khuda par bhi kuch nahi,

Guzray gi ''John'' mein rishton k kis tarah ?

Dil mein bhi kuch nahi hai, zabaan par bhi kuch nahi ...

Poet : John Elia
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment