Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hui,
Rakkhe Gi Ye Na Baal Baraabar Lagi Hui,
Baithe Bhare Hue Hain Khum-E-Mai Ki Tarah Hum,
Par Kya Karein Ke Muhar Hai Munh Par Lagi Hui,
Mayyat Ko Gusal Dijo Na Khaaksaar Ki,
Hai Tan Pe Khaak-E-Kuchaa-E-Dilbar Lagi Hui,
Nikale Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok,
Hai Phans Si Kaleje Ke Andar Lagi Hui,
Ay Zauq Dekh Dukhtar-E-Raz Ko Na Moonh Lagaa
Chhut'ti Nahi Hai Moonh Se Ye Kaafir Lagi Hui ...
Poet : Ibrahim Zauq
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:
Post a Comment