Ik Larki Deewaani Si
Ik Larke Ko Bohat Chahti Thi,
Har Pal Uski YaadoN MeiN Jeeti,
Har Pal Muskurati Thi
Shayad Apne Saath Ho Rahe Dhokhe Ko
Wo Khud Se Hi Chupati Thi,
Aankhon MeiN Nami Aur
HontoN Pe MuskaneiN Sajati Thi,
Sachi Mohabbat Ki Us Ne
Phir Bhi Har Pal
Thukrayi Jaati Thi,
Ik Hansi Dekhne Ko
Us Larke Ke HontoN Par
Wo Khud Ko Dard Pohunchati Thi,
Bohat Samjhaya Sab Ne,
Par Wo Sab Ki Baat Taal Jati Thi,
Jab Bhi Koi Kehta Use,
K Wo Bewafa Hai,
To Andar Hi Andar Mar Jaati Thi,
SaanseiN Jaise Use De Chuki,
Dil Bhi Usi Bedard Ko De Aayi Thi,
Us Larke Ke BaateiN Aisi Jo
Har Pal Use Gham De Jaati Thi,
Phir Bhi Uski Khushi Ke Liye,
Sab Kuch Kar Jaati Thi,
Uski Bewafai Ko Khud Ki Mohabbat Ka Inaam Batati Thi,
Bhool Gaya, Chor Gaya, Wo Bewafa Use, Par Wo To
Uske Naam Ki Hi Jyot Dil MeiN Jalati Thi, Shayad
Nazuk Dil Tha Us Ke Pass
Isiliye Chahte Hue Bhi
Usse Nafrat Na Kar Paati Thi
Ik Larki Deewani Si, Ik Larke Ko Bohat Chahti Thi ...
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment