Click Here

Wednesday, January 2, 2013

Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai,

Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai,
To Kyun Mere Dil Mein Bas Gaya,

Chilman Mein Gulaab Khil Raha Hai,
Yun Tu Hai Ki Shokhi-E-Saba Hai,

Jhukti Nazrein Bata Rahi Hain,
Mere Liye Tu Bhi Sochta Hai,

Main Tere Kahe Se Chup Hoon Lekin,
Chup Bhi To Bayaan-E-Mud'da Hai,

Ik Umr Ke Baad Muskuraa Kar,
Tu Ne To Mujhe Rula Diya,

Is Waqt Ka Main Hisaab Kya Doon,
Jo Tere Baghair Kat Gaya,

Maazi Ki Sunaaoon Kya Kahaani,
Lamha Lamha Guzar Gaya,

Mat Maang Duaayein Jab Muhabbat,
Tera Mera Muaamla Hai,

Kis Dil Se Karoon Bida Tujhko
Toota Jo Sitaara Bujh Gaya Hai,

Rone Ko Ab Ashq Bhi Nahi,
Ya Ishq Ko Sabr Aa Gaya Hai,

Ab Kis Ke Talaash Mein Hain Jhonke,
Main Ne To Diya Bujha Diya Hai,

Ab Tujh Se Jo Rabt Hai To Itna,
Tera Hi Khuda Mera Khuda Hai,

Mere Hi Naqoosh-E-Pa Se Saj Kar,
Sehra Mera Naam Poochta Hai ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment