Click Here

Wednesday, January 2, 2013

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun,

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun,

Husn-E-Yazdaan Se Tujhe Husn-E-Butaan Tak Dekhun,

Tu Ne Yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekha Hi Na Tha,

Main To Dil Mein Tere Qadmon Ke Nishaan Tak Dekhun,

Sirf Is Shauq Se Poochi Hain Hazaaron Baatein,

Main Tera Husn, Tere Husn-E-Bayaan Tak Dekhun,

Mere Veeraana-E-Jaan Mein Teri Yaadon Ke Tufail,

Phool Khilte Nazar Aate Hain Jahaan Tak Dekhun,

Waqt Ne Zehen Mein Dhundhla Diye Tere Khad-O-Khaal,

Yun To Main Toot'te Taaron Ka Dhuaan Tak Dekhun,

Dil Gaya Tha To Yeh Aankhein Bhi Koi Le Jaata,

Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhun,

Ik Haqeeqat Sahi, Firdaus Mein Hooron Ka Wajood,

Husn-E-Insaan Se Nibat Loon To Wahaan Tak Dekhun ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

1 comment: