Click Here

Thursday, January 3, 2013

Hazrat-E-Insan By Allama Iqbal

Hazrat-E-Insan By Allama Iqbal

Jahan Mein Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja Arzani

Koi Shay Chup Nahin Sakti K Ye Alam Hai Noorani

Koi Dekhe To Hai Bareek Fitrat Ka Hijab Itna

Numayan Hain Farishton Ke Tabassum Haye Pinhani

Ye Duniya Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam Ko

Ke Har Mastoor Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani

Ye Farzand-E-Adam Hai K Jis Ke Askh-E-Khooni Se

Kiya Hai Hazrat-E-Yazdan Ne Daryaon Ko Toofani

Falak Ko Kya Khabar Ye Khaakdaan Kis Ka Nasheeman Hai

Gharz Anjum Se Hai Kis Ke Shabistan Ki Nighebani

Agar Maqsood-E-Kul Main Hun To Mujh Se Mawara Kya Hai

Mere Hungama Ha'ay Nau Ban Nau Ki Intiha Kya Hai ?

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment