Click Here

Sunday, January 6, 2013

Saadgi Par Us Ki Mar Jaane Ki Hasrat Dil Main Hai,

Saadgi Par Us Ki Mar Jaane Ki Hasrat Dil Main Hai,

Bas Nahi Chalta Ki Phir Khanjar Kaf-E-Qaatil Main Hai,

Dekhna Taqreer Ki Lazzat Ki Jo Usne Kaha,

Main Ne Ye Jaana K Goya Ye Bhi Mere Dil Main Hai,

Garche Hai Kis Kis Burai Se Wale Baa Iin Hama,

Zikr Mera Mujh Se Behtar Hai Ki Us Mehfil Main Hai,

Bas Hujoom-E-Na Umidi Khaak Main Mil Jaye Gi,

Ye Jo Ik Lazzat Hamari Sai-E-Behaasil Main Hai,

Ranj-E-Rah Kyun Khenchiye Vaamandagi Ko Ishq Hai

Uth Nahi Sakta Hamaara Jo Qadam Manzil Main Hai,

Jalwa Zaar-E-Aatash-E-Dozakh Hamaara Dil Sahi,

Fitna-E-Shor-E-Qayamat Kis Ki Aab-O-Gil Main Hai,

Hai Dil-E-Shoridaa-E-Ghalib Tilism-E-Pech-O-Taab,

Raham Kar Apni Tamanna Par Ki Kis Mushkil Main Hai ...

Poet - Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment