Click Here

Sunday, January 6, 2013

Sab Kahan Kuch Laala-O-Gul Mein Numayaan Ho Gain,

Sab Kahan Kuch Laala-O-Gul Mein Numayaan Ho Gain,

Khaak Main Kya Suraten Hongi Ki Pinhaan Ho Gain,

Yaad Thi Ham Ko Bhi Ranga Rang Bazmaraiyaan,

Lekin Ab Naqsh-O-Nigar-E-Taq-E-Nisiyan Ho Gain,

Thi Banatunash-E-Gardun Din Ko Parde Main Nihaan,

Shab Ko Un K Ji Main Kya Aai Ki Uriyan Ho Gain,

Qaid Main Yaqoob Ne Li Go Na Yousuf Ki Khabar,

Lekin Aankhein Rauzan-E-Deewaar-E-Zindaan Ho Gain,

Sab Raqeebon Se Hon Na-Khush, Par Zanaan-E-Misr Se,

Hai Zulaikha Khush K Mahw-E-Maah-E-Kanaan Ho Gain,

Ju-E-Khoon Aankhon Se Bahane Do K Hai Shaam-E-Firaq,

Main Ye Samjhon Ga K Shamaen Ho Farozaan Ho Gain,

In Parizaadon Se Lain Ge Khuld Mein Hum Intaqaam,

Qudrat-E-Haq Se Yahi Huren Agar Waan Ho Gain,

Neend Uski Hai, Dimaag Uska Hai, Raatein Uski Hain,

Teri Zulfeim Jiske Baazu Par Parishaan Ho Gain,

Main Chaman Main Kya Gaya, Goya Dabistaan Khul Gaya,

Bul-Bulen Sun Kar Mere Naale, Gazal Khvaan Ho Gain
,
Wo Nigaahen Kyun Hui Jaati Hain Ya-Rab Dil Ke Paar,

Jo Meri Kotahi-E-Qismat Se Mizshgaan Ho Gain,

Bas Ki Roka Main Ne Aur Seene Main Ubhare PaiBa Pai,

Meri Aahen Bakhiya-E-Chaak-E-Garibaan Ho Gain,

Waan Gaya Bhi Main To Unki Gaaliyon Ka Kya Jawaab,

Yaad Thi Jitni Duayen, Sarf-E-Darbaan Ho Gain,

Jaanfiza Hai Bara, Jiske Haath Main Jaam Aa Gaya,

Sab Lakeerein Haath Ki Goya Rag-E-Jaan Ho Gain,

Ham Muvahihad Hain, Hamara Kesh Hai Tark-E-Rusum,

Milte Jab Mit Gain, Ajza-E-Imaan Ho Gain,

Ranj Se Khugar Hua Insaan To Mit Jaata Hai Ranj,

Mushkilen Mujh Par Padi Itni Ke Aasaan Ho Gain,

Yun Hi Gar Rota Raha 'Ghalib', To Ae Ahl-E-Jahaan,

Dekhna In Bastiyon Ko Tum Ki Viraan Ho Gain ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment