Tay Karoon Ga Yeh Andhera Main Akela Kaise,
Mere Hamraah Chale Ga Mera Saaya Kaise,
Meri Aankhon Ki Chaka-Chaundh Baant Sakti Hai,
Jis Ko Dekha Hi Na Jaaye, Use Dekha Kaise,
Chaandni Us Se Lipat Jaaye, Hawaayein Chherein.
Koi Reh Sakta Hai Duniya Mein Achoota Kaise,
Main To Us Waqt Se Darta Hun Ki Woh Pooch Na Lein.
Yeh Agar Jabr Ka Aansoo Hai To Tapka Kaise,
Yaad Ke Qasr Hain Ummeed Ki Qandeelein Hain,
Main Ne Aabaad Kiye Dard Ke Sehra Kaise,
Zehen Mein Nit Naye But Daal Kar Ye Dekhta Hoon,
But-Kaday Ko Woh Bana Leta Hai Kaaba Kaise,
Us Ki Qudrat Ne Mera Raasta Roka Ho Ga,
Pooch Mujh Se Ki Qayaamat Huyi Barpa Kaise,
Agar Samandar Hi Se Dariyaaon Ka Rizq Aata Hai,
Us Ke Seene Mein Utar Jaate Hain Dariya Kaise,
Toot'ti Raat Ne Sooraj Se Yeh Sargoshi Ki,
Main Na Hoti To Tera Noor Barasta Kaise ...
Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

No comments:
Post a Comment