Samundar Mein Utarta Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab sey
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain
teri yaadoon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain
Na_jaaney ho gaya hoon is_qadar hassaas main kab sey
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
wo sab guzrey hoey lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
main sara din bohat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pey rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain
tere koochey sey ab mera ta'alluq waajbi sa hai
magar jab bhi guzarta hoon to aankhain bheeg jati hain
Hazaaron mausamo'n ki hukmaarani hai meray dil par
Wasi main jab bhi tanha hon to aankhein bheeg jati hain !
Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
is mai 3 sher missing hain
ReplyDeletecheck complete ghazal @
http://adf.ly/Wqw3r