Woh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gaya Hai Junoon
Khuda Mujhe Nafs-e-Jibraeel De To Kahoon
Sitara Kya Meri Taqdeer Ki Khabar De Ga
Woh Khud Farakhi-e-Aflaak Mein Hai Khwaar-o-Zaboon
Hayat Kya Hai, Khiyal-o-Nazar Ki Majzoobi
Khudi Ki Mout Hai Andesha Ha'ay Goonagoon
Ajab Maza Hai, Mujhe Lazzat-e-Khudi De Kar
Woh Chahte Hain Ke Main Apne Aap Mein Na Rahoon
Zameer-e-Paak-o-Nigah-e-Buland-o-Masti-e-Shauq
Na Maal-o-Doulat-e-Qaroon, Na Fikar-e-Aflatoon
Sabaq Mila Hai Ye Miraaj-E-Mustafa (S.A.W.) Se Mujhe
Ke Alam-e-Bashriyat Ki Zad Mein Hai Gardoon
Ye Kainat Abhi Na-Tamam Hai Shaid
Ke Aa Rahi Hai Damadam Sadaa-e-'Kun Fayakoon'
Elaj Atish-E-Rumi Ke Soz Mein Hai Tera
Teri Khirad Pe Hai Ghalib Farangion Ka Fasoon
Ussi Ke Faiz Se Meri Nigah Hai Roshan
Ussi Ke Faiz Se Mere Saboo Mein Hai Jehoon ...
Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment