Click Here

Friday, November 2, 2012

Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pursouz-o-Nishat Angaiz















Ye Kon Ghazal Khawan Hai, Pursouz-o-Nishat Angaiz

Andesha-e-Dana Ko Karta Hai Junoon Amaiz

Gau Faqr Bhi Rakhta Hai Andaz-e-Mulookana

Na-Pukhta Hai Pervaizi Be-Saltanat-e-Pervaiz

Ab Hujra-e-Sufi Mein Woh Faqr Nahin Baqi

Khoon-e-Dil-e-Shairan Ho Jis Faqr Ki Dastavaiz

Ay Halqa-e-Darveshan! Who Mard-e-Khuda Kaisa

Ho Jis Ke Gireeban Mein Hangama-e-Rastakhaiz

Jo Zakr Ki Garmi Se Shaule Ki Tarah Roshan

Jo Fikar Ki Sura'at Mein Bajli Se Zaida Taez !

Karti Hai Mulookiat Asaar-e-Junoon Paida

Allah Ke Nashtar Hain Taimoor Ho Ya Changaiz

Yun Dad-e-Sukhan Mujh Ko Dete Hain Iraq-o-Paras

Ye Kafir-e-Hindi Hai Be Taeg-o-Sanaan Khoonraiz ...

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment