Click Here

Thursday, December 20, 2012

Dharam ki baansuri se raag nikle

Dharam ki baansuri se raag nikle

vo sooraakhoN se kaale naag nikle

Rakho Dair o Haram ko ab muqaffal

Kayi paagal yahan se bhaag nikle

Wo ganga jal ho ya ho aab-e-zam zam..

Yeh wo paani hain jinse aag nikle

Khuda se le liya jannat ka waada..

Yeh Zaahid to bade hi ghaag nikle

Hai aakhir aadmiyat bhi koi sheyTere darbaan to "Bull Daagh" nikle

Yeh kiya andaaz hai ae nukta cheeno

Koi tanqeed to bey laag nikley

Pilaaya tha hameiN amrit kisi ne

Magar munh se lahu k jhaaag nikle

Poet: Jaun Elia.
Contribute: Sadam Mugheri.

No comments:

Post a Comment