Click Here

Showing posts with label Ahmed Nadeem Qasmi. Show all posts
Showing posts with label Ahmed Nadeem Qasmi. Show all posts

Tuesday, January 8, 2013

Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray

Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Par Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawal Na Ho

Yahan Jo Phool Khilay, Wo Khila Rahay Sadiyon
Yahan Khizan Ko Guzarnay Ki Bhi Majal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay Wo Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz K Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Khuda Kare K Na Kham Ho Sar-e-Waqar-e-Watan
Aur Is K Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho

Har Aik Fard Ho Tehzeeb-o-Fun Ka Aoj-e-Kamal
Koi Malol Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Kare K Mere Ik Bhi Ham Watan K Liye
Hayat Jurm Na Ho Zindagi Wabal Na Ho ...

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi

خدا کرے کہ مری ارض پاک پر اترے

خدا کرے کہ مری ارض پاک پر اترے
وہ فصلِ گل جسے اندیشۂ زوال نہ ہو

یہاں جو پھول کھلے وہ کِھلا رہے برسوں
یہاں خزاں کو گزرنے کی بھی مجال نہ ہو

یہاں جو سبزہ اُگے وہ ہمیشہ سبز رہے
اور ایسا سبز کہ جس کی کوئی مثال نہ ہو

گھنی گھٹائیں یہاں ایسی بارشیں برسائیں
کہ پتھروں کو بھی روئیدگی محال نہ ہو

خدا کرے نہ کبھی خم سرِ وقارِ وطن
اور اس کے حسن کو تشویشِ ماہ و سال نہ ہو

ہر ایک فرد ہو تہذیب و فن کا اوجِ کمال
کوئی ملول نہ ہو کوئی خستہ حال نہ ہو

خدا کرے کہ مرے اک بھی ہم وطن کے لیے
حیات جرم نہ ہو زندگی وبال نہ ہو

احمد ندیم قاسمی

گُل ترا رنگ چرا لائے ہیں گلزاروں میں

گُل ترا رنگ چرا لائے ہیں گلزاروں میں
جل رہا ہوں بھری برسات کی بوچھاروں میں

مجھ سے کترا کے نکل جا مگر اے جانِ جہاں!
دل کی لَو دیکھ رہا ہوں ترے رخساروں میں

مجھ کو نفرت سے نہیں پیار سے مصلوب کرو
میں بھی شامل ہوں محبت کے گنہ گاروں میں

حُسن بیگانۂ احساسِ جمال اچھا ہے
غنچے کھِلتے ہیں تو بِک جاتے ہیں بازاروںمیں

ذکر کرتے ہیں ترا مجھ سے بعنوانِ جفا
چارہ گر پھول پرو لائے ہیں تلواروں میں

میرے کِیسے میں تو اک سُوت کی انٹی بھی نہ تھی
نام لکھوا دیا یوسف کے خریداروں میں

رُت بدلتی ہے تو معیار بدل جاتے ہیں
بلبلیں خار لیے پھرتی ہیں منقاروں میں

چُن لے بازارِ ہنر سے کوئی بہروپ ندیمؔ
اب تو فنکار بھی شامل ہیں اداکاروں میں !

احمد ندیم قاسمی

Monday, January 7, 2013

اسے اپنے کل ہی کی فکر تھی وہ جو میرا واقفِ حال تھا

اسے اپنے کل ہی کی فکر تھی وہ جو میرا واقفِ حال تھا

وہ جو اسکی صبحِ عروج تھی وہ میرا وقتِ زوال تھا

مرا درد کیسے وہ جانتا مری بات کیسے وہ مانتا

وہ تو خود فنا ہی کے ساتھ تھا اسے روکنا بھی محال تھا

وہ جو اسکے سامنے آگیا کسی روشنی میں نہا گیا

عجب اسکی ہیبتِ حسن تھی عجب اسکا رنگِ جمال تھا

دمِ واپسیں اسے کیا ہوا نہ وہ روشنی نہ وہ تازگی

وہ ستارہ کیسے بکھر گیا وہ جو اپنی آپ مثال تھا

وہ ملا تو صدیوں کے بعد بھی میرے لب پہ کوئی گلا نہ تھا

اسے میری چپ نے رُلا دیا جسے گفتگو میں کمال تھا

میرے ساتھ لگ کے وہ رودیا اور صرف اتنا ہی کہہ سکا

جسے جانتا تھا میں زندگی وہ تو صرف وہم و خیال تھا

احمد ندیم قاسمی

Wednesday, January 2, 2013

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha,

Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha,

Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha,

Us Husn-E-Ittefaaq Pe Lut Kar Bhi Shaad Hun,

Teri Raza Jo Thi, Woh Taqaaza Wafa Ka Tha,

Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Barh Gayi,

Yeh Teri Yaad Thi Ki Amal Keemiya Ka Tha,

Is Rishta-E-Lateef Ke Asraar Kya Khulein,

Tu Saamne Tha Aur Tassawwur Khuda Ka Tha,

Chhup Chhup Ke Roun Aur Sar-E-Anjuman Hasoon,

Mujh Ko Yeh Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha,

Uttha Ajab Tazaad Se Insaan Ka Khameer,

Aadi Fana Ka Tha Jo Pujaari Baqa Ka Tha,

Toota To Kitne Aayina-Khaano Pe Jar Pari,

Atka Hua Gale Mein Jo Patthar Sada Ka Tha,

Hairaan Hun Ki Daar Se Kaise Bacha 'Nadeem',

Woh Shakhs To Ghareeb-O-Ghuyoor Inteha Ka Tha ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai,

Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai,
To Kyun Mere Dil Mein Bas Gaya,

Chilman Mein Gulaab Khil Raha Hai,
Yun Tu Hai Ki Shokhi-E-Saba Hai,

Jhukti Nazrein Bata Rahi Hain,
Mere Liye Tu Bhi Sochta Hai,

Main Tere Kahe Se Chup Hoon Lekin,
Chup Bhi To Bayaan-E-Mud'da Hai,

Ik Umr Ke Baad Muskuraa Kar,
Tu Ne To Mujhe Rula Diya,

Is Waqt Ka Main Hisaab Kya Doon,
Jo Tere Baghair Kat Gaya,

Maazi Ki Sunaaoon Kya Kahaani,
Lamha Lamha Guzar Gaya,

Mat Maang Duaayein Jab Muhabbat,
Tera Mera Muaamla Hai,

Kis Dil Se Karoon Bida Tujhko
Toota Jo Sitaara Bujh Gaya Hai,

Rone Ko Ab Ashq Bhi Nahi,
Ya Ishq Ko Sabr Aa Gaya Hai,

Ab Kis Ke Talaash Mein Hain Jhonke,
Main Ne To Diya Bujha Diya Hai,

Ab Tujh Se Jo Rabt Hai To Itna,
Tera Hi Khuda Mera Khuda Hai,

Mere Hi Naqoosh-E-Pa Se Saj Kar,
Sehra Mera Naam Poochta Hai ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun,

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun,

Husn-E-Yazdaan Se Tujhe Husn-E-Butaan Tak Dekhun,

Tu Ne Yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekha Hi Na Tha,

Main To Dil Mein Tere Qadmon Ke Nishaan Tak Dekhun,

Sirf Is Shauq Se Poochi Hain Hazaaron Baatein,

Main Tera Husn, Tere Husn-E-Bayaan Tak Dekhun,

Mere Veeraana-E-Jaan Mein Teri Yaadon Ke Tufail,

Phool Khilte Nazar Aate Hain Jahaan Tak Dekhun,

Waqt Ne Zehen Mein Dhundhla Diye Tere Khad-O-Khaal,

Yun To Main Toot'te Taaron Ka Dhuaan Tak Dekhun,

Dil Gaya Tha To Yeh Aankhein Bhi Koi Le Jaata,

Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhun,

Ik Haqeeqat Sahi, Firdaus Mein Hooron Ka Wajood,

Husn-E-Insaan Se Nibat Loon To Wahaan Tak Dekhun ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

Tay Karoon Ga Yeh Andhera Main Akela Kaise,

Tay Karoon Ga Yeh Andhera Main Akela Kaise,

Mere Hamraah Chale Ga Mera Saaya Kaise,

Meri Aankhon Ki Chaka-Chaundh Baant Sakti Hai,

Jis Ko Dekha Hi Na Jaaye, Use Dekha Kaise,

Chaandni Us Se Lipat Jaaye, Hawaayein Chherein.

Koi Reh Sakta Hai Duniya Mein Achoota Kaise,

Main To Us Waqt Se Darta Hun Ki Woh Pooch Na Lein.

Yeh Agar Jabr Ka Aansoo Hai To Tapka Kaise,

Yaad Ke Qasr Hain Ummeed Ki Qandeelein Hain,

Main Ne Aabaad Kiye Dard Ke Sehra Kaise,

Zehen Mein Nit Naye But Daal Kar Ye Dekhta Hoon,

But-Kaday Ko Woh Bana Leta Hai Kaaba Kaise,

Us Ki Qudrat Ne Mera Raasta Roka Ho Ga,

Pooch Mujh Se Ki Qayaamat Huyi Barpa Kaise,

Agar Samandar Hi Se Dariyaaon Ka Rizq Aata Hai,

Us Ke Seene Mein Utar Jaate Hain Dariya Kaise,

Toot'ti Raat Ne Sooraj Se Yeh Sargoshi Ki,

Main Na Hoti To Tera Noor Barasta Kaise ...

Poet : Ahmad Nadeem Qasmi
Contribute: Zahid Shah

Sunday, September 30, 2012

Allah ... Gar Qayamat Aati Hai To Tal Jaye


Allah ... Gar Qayamat Aati Hai To Tal Jaye
Chhoo Li Hai Jo Barso'n Main Woh Ik Shaakh Jo Phal Jaye
Murjhaaye Koi Gul Na Sitaara Koi Tootey
Insaa'n Sambhal Jaye To Kya Kuch Na Sambhal Jaye
Kiyon Ishq Ki Us Aanch Say Dil Mom Na Ho Paayein
Pathar Ko Bhi Jis Aanch Pay Rakho To Pighal Jaye
Dushwaar Hai Inkaar Ko Inkaar Samajhna
Inkaar Say Chehray Ka Agar Rang Badal Jaye
Ghuncho'n Ko To Darkaar Hai Aaeena Sehar Ka
Shabnam Ko Ye Dar Hai K Kaheen Raat Na Dhal Jaye
Har Morr Pay Baitha Hai Ye Khoon-Khuwaar Darinda
Jo Lamha Guzar Jaye Usay Waqt Nighal Jaye
Shaa'ir Ko Ye Zid ... Chaand Say Kaam Kuch Nahi Lay Ga
Phoolon Pay Magar Ous Ko Daikhey To Behal Jaye ...

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Kya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon


Ye Kya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Main Tujh Ko Kho K, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Main Intezaar-e-Tuloo-e-Seher Mein Jeeta Hoon
Main Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
Tu Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Main Tujh Ko Paa K Bhi Kiyun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Ghaiyoor Hoon K Ijaara Pasand Hoon, Kya Hoon ?
Main Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ru-Ba-Ru Na Karoon
Ye Mashwaray To Mere Tark-e-Shair K Hain Nadeem
K Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon ...

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Itna Dushwaar Nahi Maut ko Taaley Rakhna


Itna Dushwaar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhalay Rakhna,
Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna
Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,
Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,
Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai "Nadeem"
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna ..

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/