Click Here

Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts
Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts

Tuesday, January 8, 2013

عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی

عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی
میری وحشت تری شہرت ہی سہی

قطع کیجے نہ تعلّق ہم سے
کچھ نہیں ہے تو عداوت ہی سہی

میرے ہونے میں ہے کیا رسوائی
اے وہ مجلس نہیں خلوت ہی سہی

ہم بھی دشمن تو نہیں ہیں اپنے
غیر کو تجھ سے محبّت ہی سہی

اپنی ہستی ہی سے ہو جو کچھ ہو
آگہی گر نہیں غفلت ہی سہی

عمر ہر چند کہ ہے برق خرام
دل کے خوں کرنے کی فرصت ہی سہی

ہم کوئی ترکِ وفا کرتے ہیں
نہ سہی عشق مصیبت ہی سہی

کچھ تو دے اے فلکِ نا انصاف
آہ و فریاد کی رخصت ہی سہی

ہم بھی تسلیم کی خو ڈالیں گے
بے نیازی تری عادت ہی سہی

یار سے چھیڑ چلی جائے اسد
گر نہیں وصل تو حسرت ہی سہی

مرزا اسد اللہ خان غالب

دکھ دے کر سوال کرتے ہو

دکھ دے کر سوال کرتے ہو
تم بھی غالب کمال کرتے ہو

دیکھ کر پوچھ لیا حال میرا
چلو کچھ تو خیال کرتے ہو

شہر-دل میں اداسیاں کیسی؟
یہ بھی مجھ سے سوال کرتے ہو

مرنا چاہیں تو مر نہیں سکتے
تم بھی جینا محال کرتے ہو

اب کس کس کی مثال دوں تمکو؟
ہر ستم بے مثال کرتے ہو

مرزا اسد اللہ خان غالب

Monday, January 7, 2013

کیوں جل گیا نہ تابِ رخِ یار دیکھ کر

کیوں جل گیا نہ تابِ رخِ یار دیکھ کر
جلتا ہوں اپنی طاقتِ دیدار دیکھ کر

آتش پرست کہتے ہیں اہلِ جہاں مجھے
سرگرمِ نالہ ہائے شرربار دیکھ کر

ثابت ہوا ہے گردنِ مینا پہ خونِ خلق
لرزے ہے موجِ مے تری رفتار دیکھ کر

وا حسرتا! کہ یار نے کھینچا ستم سے ہاتھ
ہم کو حریصِ لذتِ آزار دیکھ کر

ان آبلوں سے پاؤں کے گھبرا گیا تھا میں
جی خوش ہوا ہے راہ کو پرخار دیکھ کر

گرنی تھی ہم پہ برقِ تجلی، نہ طور پر
دیتے ہیں بادہ ، ظرفِ قدح خوار دیکھ کر

سر پھوڑنا وہ غالبِ شوریدہ حال کا
یاد آ گیا مجھے تری دیوار دیکھ کر

غالب

Ye Na Thi Humari Qismat K Wisaal-e-Yaar Hota,

Ye Na Thi Humari Qismat K Wisaal-e-Yaar Hota,
Agar Aur Jeetay Rehtay Yehi intezaar hota,

Tere wade par jiye ham to ye jaan jhoot jana,
k khushi se mar na jaate agar aitbar hota,

teri nazuki se jana k bandha tha Ehd-e-booda,
kabhi tu na tor sakta agar ustawaar hota,

koi mere dil se pooche tere teer-e-nimakash ko,
ye khalish kahan se hoti jo jigar k par hota,

ye kahan ki dosti hai k bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota,

rag-e-sang se tapakta wo lahu k phir na thamta,
jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota,

gam agarche jangusil hai, pe kahan bachen k dil hai,
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozgar hota,

kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai,
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota,

hue mar k ham jo ruswa, hue kyon na garq-e-dariya,
na kabhi janaza uthta, na kahin mazar hota,

use kiun dekh sakta ki yagana hai wo yakta,
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do char hota,

ye masail-e-tasawuf, ye tera bayan 'Ghalib',
tujhe ham wali samajhte, jo na baada-khwar hota ...

Poet : Mirza Ghalib

Wo Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan?

Wo Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan?
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahan?

Fursat-E-Kaarobaar-E-Shauq Kise?
Zauq-E-Nazzaraa-E-Jamaal Kahan?

Dil To Dil Wo Dimaagh Bhee Na Rahaa
Shor-E-Sauda-E-Khatt-O-Khaal Kahan?

Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Woh Raanaai-E-Khayaal Kahan?

'Eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahan?

Hamse A Qamaar_Khaana-E-Ishq
Waan Jo Jawain, Girah Mein Maal Kahan?

Fikr-E-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
Main Kahan Aur Ye Wabaal Kahan?

Muzmahil Ho Gaye Quw-e-'Ghalib'
Wo Anaasir Mein 'Eitdaal Kahan?

Poet : Mirza Ghalib
Contributed : Zahid Shah

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye,

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye,
Baitha raha agarche ishare hua kiye,

dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya,
Main Urr Jaoon dar se tere bin sada kiye,

rakhta phiroon hoon khirqa-o-sajda rahan-e-may,
Muddat hui hai daawat-e-aab-o-hawa kiye,

Be-sarfa hi Guzarti hai, ho garche umar-e-khizar,
hazrat bhi kal kahein ge k ham kya kiya kiye,

Muqaddar ho to khak se Poochoon k ay laim,
Tu ne wo Ganj haye giranmaya kya kiye,

kis roz tu hama-tan na tarsha kiye adu,
kis din hamare sar pe na are chala kiye,

sohbat mein gair ki na pari ho kahin ye khu,
dene laga hai bose bagair Iltejaa kiye,

zid ki hai aur bat magar khu buri nahi,
bhoole se us ne saikaron wade-wafa kiye,

'Ghalib' Tumhee'n kaho k mile ga jawab kya ?
Maana k tum kaha kiye aur wo suna kiye ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain.

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain.

Khaak mein kya suratein hongi k pinhaan ho gain,

Yaad thi hamko bhi ranga -ang Bazm-Aaraiyan,

Lekin ab Naqsh-o-Nigaar-e-Taaq-e-Nisiyaan ho gain,

Theen Banatunnash-e-gardun din ko parde mein Nihaan,

Shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain

qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar

lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain

sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se

hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain

ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq

main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain

in parizadon se lenge khuld mein ham intaqam

qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain

nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain

teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain

main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya

bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain

wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par

jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain

bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai

meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain

wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab

yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain

janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya

sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain

ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum

millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain

ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj

mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain

yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan

dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain ...

Poet : Mirza Ghalib

Na Tha Kuch To KHUDA Tha , Kuch Hota To Khuda Hota

Na Tha Kuch To KHUDA Tha , Kuch Hota To Khuda Hota

Duboya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota

Howa Jab Gham Se Yuon Be His To Gham Kiya Sar Ke Katne Ka

Na Hota Gar Juda Tan Se To Zano Par Dhara Hota

Hui Mudat Ke Ghalib Mar Gaya, Par Yaad Aata Hay

Wo Har Baat Pe Kahna Ke Yuon Hota To Kya Hota ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein

Qasid Ke Aate-Aate Khat Ek Aur Likh Rakhoon

Main jaanta hoon jo woh likhenge jawaab mein,

Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein

Shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein!!!

Mujh tak kab unki bazm mein aata tha daur-e-jaam

Saaqi ne kuch mila na diya ho sharaab mein!!!

Taa phir na intezaar mein neend aaye umra bhar

aane ka ahad kar gaye, aaye jo khwaab mein!!!

Gaalib chuti sharaab par abh bhie kabhi kabhi

Peeta hoon roz-e-abr-o-shab-e-maahtaab mein ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Bohat Niklay Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Niklay,

Darray Kiyun Mera Qatil Kya Rahay Ga Us ki Gardan Par,

wo khun jo chashm-e-tar say umar_bhar yun dam-ba-dam niklay,

Nikalna khuld say adam ka suntay aaye hain lekin

bohat be-aabru ho kar tere koochay say ham niklay,

Bharam khul jaye zalim tere qaamat ki daraazi ka

Agar is turra-e-purapech-o-kham ka paich-o-kham niklay

magar likhwaye koi us ko khat to ham say likhwaye

hui subah aur ghar say kan par rakh kar qalam niklay

hui is daur mein mansoob mujh say bada-ashmi

phir aaya wo zamana jo jahan se jam-e-jam niklay

hui jin say tawaqqo khastagi ki daad panay ki

wo hum say bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam niklay,

Muhabbat mein nahi hai farq jeenay aur marnay ka,

usi ko dekh kar jeetay hain jis kafir pay dam niklay,

zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam niklay,

Jo wo niklay to dil niklay, jo dil niklay to dam niklay

Khuda k wastay parda na kaa'bay say utha zalim

kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kafir sanam niklay

kahan mai_khanay ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz

par itna jantay hain kal wo jata tha k ham niklay ....

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai ?

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai ?
Aakhir is dard Ki Dawa Kya hai ?

Hum Hain mushtaaq aur woh bezaar,
Ya Ilaahi ! Yeh Maajra kya hai ?

Main bhi Moonh Mein zabaan rakhta hoon,
Kaash ! Poocho K , Muddaa kya hai ?

Jab k tujh bin Nahi Koi Maujood,
Phir ye hangaama, Ay Khuda kya hai ?

Ye Pari Chehara Log kaise hain ?
Ghamza-o-Ishwa-o-'adaa kya hai ?

Shikan-e-zulf-e-Ambari Kiyon hai ?
Nigah-e-Chashm-e-Soorma sa kya hai ?

Sabza-o-Gul kahaan seaaye haiN ?
Abar Kya Cheez hai, Hawa kya hai ?

Hum ko un Se Wafa ki hai Umeed,
Jo Nahi Jaante wafa kya hai,

Haan Bhala Kar Tera Bhala Ho Ga,
Aur Darvaish Ki Sadaa Kya hai ?
Jaan Tum Par Nisaar karta hoon,
Main Nahi Jaanta duaa kya hai ?

Main Ne Maana K kuch Nahi 'Ghalib'
Muft haath Aaye to Bura kya hai ?

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Aah Ko Chahiye Ek Umer Asar Honay Tak,

Aah Ko Chahiye Ek Umer Asar Honay Tak,

Kon Jeeta Hai Teri Zulf K Sar Honay Tak,

Aashqi Sabar Talab Aur Tamanna Beytaab,

Dil Ka Kiya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Honay Tak,

Hum Nay Maana K Taghaful Na Karo Gay,

Lekin Khaak Ho Jayein Gay Hum Tum Ko Khabar Honay Tak,

Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Say Ho Juz_Marg ilaaj,

Shama Har Rang Mein Jalti Hai SAHER Honay Tak !

Poet : Mirza Asad Ullah Khan Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kiyun,

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kiyun,

Royein Ge Hum hazaar baar koi hamein sataye kiyun,

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastan nahi,

Baithe hain Rah-guzar pe hum ghair humein uthaye kiyun,

Jab Wo Jamaal-e-dil-Faroz, Soorat-e-Mehar-E-Neemroz,

Aap hi ho Nazaara-soz, parde mein Moonh chhupaye kiyun ?

Dushna-- ghamzah jaansataan, naawik-e- naaz be-panah

Tera hi aqsi rukh sahi, saamne tere aaye kiyun ?

Qaid e hayat o band e gham asl mein donon ek hain,

Maut se pehle admi gham se Nijaat paye kiyun,

Husn aur uspe husn e zan, reh gayi bul hawas ki sharam

Apne pe aitmaad hai, ghair ko aazmayen kyun?

Waan wo ghuroor e azzo naaz, yaan ye hijab e paas e waza

Raah mein hum milen kahaan?bazm mein woh bulaye kyun?

Haan wo nahi kkhuda parast jao wo bewafa sahi

Jisko ho din o dil azeez uski gali mein jaye kyon?

Ghalib e khasta ke baghair kaun se kaam band hain

roiye zar zar kyaa kijiye hai hai kyon ?

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

Baazeecha-e-Atfaal hai duniya mere aage,

Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage,
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage,

Ik khail hai aurang-e-sulemaan mere nazdeek,
ik baat hai ' Ijaz-e-maseeha mere aage,

Juz naam nahi soorat-e-aalam mujhe manzoor,
Juz weham nahi hasti-e-ashiya mere aage,

hota hai nihaan gard mein sehra mere hote,
ghista hai jabeen Khaak pe dariya mere aage,

Mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
Tu dekh ke kya rang tera mere aage,

Sach kehte ho, Khud-been-o-Khud_aaraa na kiyun hoon ?
Baitha hai but-e-aaeenaa_seemaa mere aage,

Phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-Guftaar,
Rakh de koi Paimaana-o-sahba mere aage,

Nafrat ka Gumaan Guzare hai, main rashk se guzaraa
Kiyon-kar kahoon, lo naam na uska mere aage,

Imaan mujhe roke hai jo kheenche hai mujhe kufar,
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage,

Aashiq hoon, pe maashooq_faraibi hai mera kaam,
Majnoon ko bura kehti hai Laila mere aage,

Khush hote hain par wasl mein yoon mar nahi jaate,
Aayi shab-e-hijraan ki tamanna mere aage,

Hai mauj_zan ik qulzum-e-KhooN, kaash, yahi ho,
Aata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage,

Go haath ko jumbish nahi Aanhon mein to dam hai,
Rehne do abhi Saaghar-o-meena mere aage,

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'Ghalib' ko bura Kiyun kaho acha mere aage !

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sunday, January 6, 2013

Hawas ko hai nishat e kar kya kya,

Hawas ko hai nishat e kar kya kya,
Na ho marna to jeene ka maza kya

Tajahul paishgi se muddua kya,
Kahan tak aye sarapa naz kya kya

Nwazish haye be ja daikhta hun,
Shikayat haye rangeen ka gila kya

Nigah e be muhaba chahta hun,
Taghaful haye tamkeen azmaan kya

Farogh e shola e khas yak nafas hai,
Hawas ko pas e namoos e wafa kya

Nafas mauj e muheet e baikhudi hai,
Taghaful haye saqi ka gila kya

Dimagh e etr e pairahan nahi hai,
Gham e awargi haye saba kya

Dil her qatrah hai saz e 'ana al baher',
Hum uske hain hamara poochna kya

Muhaba kya hai, main zamin, idhar daikh,
Sheedan e nigah ka khoon baha kya

Sun aye gharatgar e jins e wafa, sun,
Shikast e qeemat e dil ki sada kya

Kiya kis ne jigardari ka dawa,
Shakeeb e khatir e ashiq bhala kaya

Ye qatil, wada e sabr azman kyon,
Ye kafir fitna e taqat ruba kya

Bala e jaan hai, Ghalib us ki her bat
Ibaarat kya, ishaarat kya, ada kya !!

Poet : Mirza Ghalib

Har Ik Baat Pe Kehte Ho Tum, K Tu Kya Hai,

Har Ik Baat Pe Kehte Ho Tum, K Tu Kya Hai,

Tum Hi Kaho k, Ye Andaaz-e-Guftagu Kya Hai,

Rarron Mein Dorrte Phirne K Hum Nahi Qayil,

Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Lahu Kya Hai,

Chipak Raha Hai Badan Par Lahu Se Pairahan,

Humari Jaib Ko Ab Haajat-e-Raffu Kya Hai,

Jala Hai Jism Jahan, Dil Bhi Jal Gaya Ho Ga,

Kuraidte Ho Jo Ab Raakh, Justaju Kya Hai ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha,

Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha,
Aap Aate The Magar Koi Inaangeer Na Tha,

Tum Se Beja Hai Mujhe Apni Tabaahi Ka Gila,

Us Main Kuch Shaaib-E-Khoobi-E-Taqdeer Bhi Tha,

Tu Mujhe Bhool Gaya Ho To Pata Batlaa Doon,

Kabhi Fitraak Main Tere Koi Nakhcheer Bhi Tha,

Qaid Main Hai Tere Wehshi Ko Wohi Zulf Ki Yaad,

Haan Kuch Ek Ranj-E-Garaanbaari-E-Zanjeer Bhi Tha,

Bijli Kaund Gai Aankhon Ke Aage, To Kya,

Baat Karte, Ke Main Lab Tashna-E-Taqreer Bhi Tha,

Yousuf Us Ko Kahoon Aur Kuch Na Kahe, Khair Hui,

Gar Bigar Baithe To Main Layaq-E-Tazeer Bhi Tha,

Dekh Kar Gair Ko Kyun Ho Na Kaleja Thanda,

Naala Karta Tha Wale Taalib-E-Taaseer Bhi Tha,


Peshe Main Aib Nahi, Rakhiye Na Farhaad Ko Naam,

Hum Hi Aashuftaa-Saron Main Wo Jawaan 'Meer' Bhi Tha,

Hum The Marne Ko Khare Paas Na Aaya Na Sahi,

Aakhir Us Shaukh Ke Tarkash Main Koi Teer Bhi Tha,

Pakre Jaate Hain Farishton Ke Likhe Par Naahaq.

Aadmi Koi Hamaara Dam-E-Tahreer Bhi Tha,

Rekhta Ke Tumheen Ustaad Nahi Ho "Ghalib",

Kahte Hain Agle Zamaane Main Koi 'Meer' Bhi Tha ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai,

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai,

Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai,

Na Muzda-E-Wisaal Na Nazaara-E-Jamaal,

Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai,

May Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be-Hijaab,

Ay Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai,

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna,

Kya Auj Par Sitara-E-Gauhar-Farosh Hai,

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast,

Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai,

Ay Taaza Waaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil,

Zinhaar Gar Tumhein Hawas-E-Na-O-Nosh Hai,

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho,

Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai,

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi,

Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai,

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat,

Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gul-Farosh Hai,

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang,

Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai,

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aa Kar To Bazm Mein,

Naa Wo Suroor-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai,

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui,

Ik Shamma Rah Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai,

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Mein,

'Ghalib', Sarir-E-Khaama Nawaa-E-Sarosh Hai ...

Poet : Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,

Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna,

May Wo Kiyun Bohst Peete Bazm-E-Gair Main Yaa-Rab,

Aaj Hi Hua Manzoor Un Ko Imtihaan Apna,

Manzar Ik Bulandi Par Aur Ham Bana Sakte,

Arsh Se Idhar Hota Kaash Ke Makaan Apna,

De Wo Jis Qadar Zillat Hum Hansi Mein Taalein Ge,

Bare Aashna Nikla Unka Paasbaan Apna,

Dard-E-Dil Likhoon Kab Tak? Jaaun Un Ko Dikhla Doon,

Ungliyaan Figaar Apni Khaamakhoon Chakaan Apna,

Ghiste Ghiste Mit Jaata Aap Ne Abas Badla,

Nang-E-Sajda Se Mere Sang-E-Aastaan Apna,

Ta Kare Na Gamaazi, Kar Liya Hai Dushman Ko,
Dost Ki Shikayat Main Ham Ne Ham-Zabaan Apna,

Ham Kahaan Ke Daana The Kis Hunar Mein Yakta The,

Be-Sabab Hua 'Ghalib' Dushman Aasmaan Apna ...

Poet - Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Na Ho Ga Yak Bayabaan Maandagi Se Zauq Kam Mera,

Na Ho Ga Yak Bayabaan Maandagi Se Zauq Kam Mera,

Hubaab-E-Mauj-E-Raftaar Hai, Naqsh-E-Qadam Mera,

Mohabbat Thi Chaman Se, Lekin Ab Ye Be-dimaagi Hai,

Ke Mauj-E-Bu-E-Gul Se Naak Main Aata Hai Dam Mera ...

Poet - Mirza Ghalib
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/