Click Here

Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts
Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts

Monday, November 4, 2013

Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahi ....


Baat Meri Kabhi Suni He Nahi

Jaantay Wo Buri Bhali He Nahi

Dil Lagi Un Ki Dil Lagi He Nahi

Ranj Bhi Hai Faqat Hansi He Nahi

Lutf Mai Tujh Se Kya Kaho'n Zaahid

Haye Kambakht Tu Ne Pee He Nahi

Urr Gai Y0on Wafa Zamaane Se

Kabhi Goya Kisi Mein Thi He Nahi

Jaan Kya D0on K Jaanta Hun Main

Tum Ne Ye Cheez Le Ke Di He Nahi

Hum To Dushman Ko Dost Kr Letay

Par Karen Kya Tairi Khushi He Nahin

Hum Tairi Aarzu Pe Jeetay Hain

Ye Nahin Hai To Zindagi He Nahi

Dil Lagi, Dil Lagi Nahin Naaseh

Tere Dil Ko Abhi Lagi He Nahi

'Daagh Kiyon Tum Ko Bewafa Kehta

Wo Shikaayat Ka Aadmi He Nahi !!

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute : Zahid Shah

Wednesday, January 9, 2013

ذرا وصل پر ہو اشارا تمہارا

ذرا وصل پر ہو اشارا تمہارا
ابھی فیصلہ ہے ہمارا تمہارا

دین و دنیا میں کافی ہے مجھ کو
خدا کا بھروسا، سہارا تمہارا

اُن آنکھوں کی آنکھوں سے لوں میں بلائیں
میسر ہے جن کو نظارا تمہارا

محبت کے دعوے ملے خاک میں سب
وہ کہتے ہیں کیا ہے اجارا تمہارا

رُکاوٹ نہ ہوتی تو دل ایک ہوتا
تمہارا ہمارا، ہمارا تمہارا

برائی جو کی تم نے غیروں کی ہم سے
ہوا حال سب آشکارا تمہارا

نکل کر مرے گھر سے یہ جان لو تم
نہ ہوگا کسی گھر گذارا تمہارا

سُنا ہے کسی اور کو چاہتاہے
وہ دُشمن ہمارا، وہ پیارا تمہارا

کریں گے سفارش ہم اے داغ اُن سے
اگر ذکر آیا دوبارا تمہارا ...

داغ دہلوی

Tuesday, January 8, 2013

یوں چلئے راہِ شوق میں جیسے ہوا چلے

یوں چلئے راہِ شوق میں جیسے ہوا چلے
ہم بیٹھ بیٹھ کر جو چلےبھی تو کیا چلے

بیٹھے اُداس اُٹھے پریشان خفا چلے
پوچھے تو کوئی آپ سے کیا آئے کیا چلے

آئینگی ٹوٹ ٹوٹکر قاصد پر آفتیں
غافل اِدھر اُدھر بھی ذرا دیکھتا چلے

ہم ساتھ ہو لئے تو کہا اُس نے غیر سے
آتا ہے کون اس سے کہو یہ جُدا چلے

بالیں سے میرے آج وہ یہ کہہ کے اُٹھے گی
اس پر دوا چلے نہ کسی کی دعا چلے

موسیٰ کی طرح راہ میں پوچھی نہ راہ راست
خاموش خضر ساتھ ہمارے چلا چلے

افسانہء رقیب بھی لو بے اثر ہوا
بگڑی جو سچ کہے سے وہاں جھوٹ کیا چلے

رکھا دل و دماغ کو تو روک تھام کر
اس عمر بیوفا پہ مرا زور کیا چلے

بیٹھا ہے اعتکاف میں‌کیا داغ روزہ دار
اے کاش میکدہ کو یہ مردِ خدا چلے !!!

داغ دہلوی

آپ کا اعتبار کون کرے

آپ کا اعتبار کون کرے
روز کا انتظار کون کرے

ذکر مہر و وفا تو ہم کرتے
پر تمہیں شرمسار کون کرے

جو ہو اوس چشم مست سے بیخود
پھر اوسے ہوشیار کون کرے

تم تو ہو جان اِک زمانے کی
جان تم پر نثار کون کرے

آفتِ روزگار جب تم ہو
شکوہء روزگار کون کرے

اپنی تسبیح رہنے دے زاہد
دانہ دانہ شمار کون کرے

ہجر میں زہر کھا کے مر جاؤں
موت کا انتظار کون کرے

آنکھ ہے ترک زلف ہی صیّاد
دیکھیں دل کا شکار کون کرے

غیر نے تم سے بیوفائی کی
یہ چلن اختیار کون کرے

وعدہ کرتے نہیں یہ کہتے ہیں
تجھ کو امیدوار کون کرے

داغ کی شکل دیکھ کر بولے
ایسی صورت کو پیار کون کرے

داغ دہلوی

Monday, December 31, 2012

Usi Ki DaastaaneiN HaiN, Usi Ki Qissa Khwani Hai


Ajab Apna Haal Hota Jo Wasal -e- Yaar Hota


Teri Soorat ...


Aafat Ki Shokiyaan Hain Tumhari Nigaahein


Hidayat Nama, Daagh Dehlvi


Saaz Ye Keena Saaz Kya Jaanein,


Main Aur Harf -e- Shikwa, Ghalt , Ay Sanam Ghalt ...


Kya Zauq Hai, Kya Shauq Hai, So Martaba Dekhoon ...


Milaate Ho Usi Ko Khaak Mein Jo Dil Se Milta Hai


Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha ?


Lutf Wo Ishq Mein Paye Hain K Jee Janta Hai


Sabab Khula Ye Humein Un K Moonh Chhupaane Ka ...


Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,

Jahaan Bajte Hain Naq'qaare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain,

Gile Shikwe Kahaan Tak Hon Ge Aadhi Raat To Guzri,

Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain,

Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai,

Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain

Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh,

Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain,

Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahi Mit'ti,

Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sab Se Tum Achhe Ho Tum Se Meri Qismat Achhi,

Sab Se Tum Achhe Ho Tum Se Meri Qismat Achhi,

Ye Hi Kambakht Dikha Deta Hai Soorat Achhi,

Jo Ho Aaghaaz Mein Behtar Woh Khushi Hai Bad-Tar,

Jis Ka Anjaam Ho Achha Woh Museebat Achhi,

Zor-O-Zar Se Bhi Kahin 'Daagh' Haseen Milte Hain,

Apne Nazdeek To Hai Sab Se Inaayat Achhi ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dil Hi To Hai Na Aaye Kiyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kiyun,

Dil Hi To Hai Na Aaye Kiyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kiyun,

Hum Ko Khuda Jo Sabar De Tujh Sa Haseen Banaaye Kiyun,

Go Nahi Bandagi Qubool Par Tera Aastaan To Hai,

Kaaba-O-Dair Mein Hai Kya, Khaakh Koi Uraaye Kiyun,

Log Ho Ya Lagaav Ho Kuch Bhi Na Ho To Kuch Nahi,

Ban Ke Farishta Aadmi Bazm-E-Jahaan Mein Aaye Kiyun,

Jur'rat-E-Shauq Phir Kahaan Waqt Hi Jab Nikal Gaya,

Ab To Hain Yeh Nidamatein Sabr Kiya Tha Haaye Kiyun,

Rone Pe Woh Mere Hanse Ranj Pe Mere Shaad Hon,

Chher Mein Kuchh To Hai Mazaa Warna Sataaye Kiyun,

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Chot Dil Ki Waheen Ubhar Aayi

Chot Dil Ki Waheen Ubhar Aayi
Jab Hansi Aayi Aankh Bhar Aayi

Thi Shab-E-Wasl Kis Qadar Kotaah
Shaam Guzri Ki Bas Sahar Aayi

Mere Marqad Pe Mujh Se Kehte Hain
Kiyun Tujhe Neend Is Qadar Aayi

Aaeena Kiyun Hua Jamaal Tera
Apni Soorat Mujhe Nazar Aayi ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah