Click Here

Showing posts with label Mirza Rafi Sauda. Show all posts
Showing posts with label Mirza Rafi Sauda. Show all posts

Wednesday, January 2, 2013

Gul Phainke Hain Auron Ki Taraf Balke Samar Bhi,

Gul Phainke Hain Auron Ki Taraf Balke Samar Bhi,

Ay Khaana-Bar-Andaaz-E-Chaman Kuch To Idhar Bhi,

Kya Zid Hai Mere Saath Khuda Jaaniye Warna,

Kaafi Hai Tasalli Ko Mere Ek Nazar Bhi,

Kis Hasti-E-Mauhoom Pe Naazaan Hai Tu Ay Yaar,

Kuch Apne Shab-O-Roz Ki Hai Tujh Ko Khabar Bhi,

Tanha Tere Maatam Mein Nahin Shaam-E-Siyah-Posh,

Rehta Hai Sada Chaak Girebaan-E-Seher Bhi ...

Poet : Mirza Rafi Sauda
Contribute: Zahid Shah

Gar Kijiye Insaaf To Kya Zor Wafa Mein,

Gar Kijiye Insaaf To Kya Zor Wafa Mein,

Khat Aate Hi Sab Chal Diye Ab Aap Hain Ya Main!

Tum Jin Ki Sana Karte Ho Kya Baat Hai Unki,

Lekin Tuk Idhar Dekhiyo Ai Yaar Bhala Main,

Yaaro Na Bandhi Us Se Kabhu Shakl-E-Mulaqaat,

Milne Ko To Us Shokh Se Tarsa Hi Raha Main,

Kaifiyat-E-Chashm Us Ki Mujhe Yaad Hai 'Sauda',

Saaghar Ko Mere Haath Se Lena Ke Chala Main ...

Poet : Mirza Rafi Sauda
Contribute: Zahid Shah

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare,

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare,

Apna Hi Tu Farefta Howe Khuda Kare,

Fikr-E-Ma'asha, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan,

Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare,

Gar Ho Sharaab-O-Khalwat-E-Mehboob-E-Khoob-Ru,

Zahid Tujhe Qasam Hai, Jo Tu Ho To Kya Kare,

Tanha Na Roz-E-Hijr Hi 'Sauda' Pe Hai Sitam,

Parwaana-Sa Visaal Mein Har Shab Jala Kare ...

Poet : Mirza Rafi Sauda
Contribute: Zahid Shah